ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake
ki Gu.Nche khil to sake khil ke muskuraa na sake
merii tabaahii dil par to raham khaa na sakii
jo raushanii me.n rahe raushanii ko paa na sake
E or Y
Sakay !
so its y
Ye keh kay teri yaad na utari meray dil main
ye dil woh chaman hai jo baharoon main jala tha!
aa_ii na phir nazar kahii.n jaane kidhar ga_ii
un tak to saath gardish-e-shaam-o-sahar ga_ii
kuchh itanaa besabaat thaa har jalvaa-e-hayaat
lauT aa_ii zaKhm khaa ke jidhar bhii nazar ga_ii
Ye ehtaram e tamana ye ehtiaat e junoon
kay teri baat karoon aur tera naam na loon!
N"
Na saqqi kay hatoon main ab woh jaam raha
Na ttottay dilon ka may'khanay main ehteraam raha
Aaj ki raat bujhanay ko' teri yaadon kay chiraagh
Na aandhi ka iss shehir main ab koi ehtemaam raha
Abad Arz
(Azad)
Abhi behi waqat hai tum loot ja ooo
Mujahay tum say mohabat hoo chalee hai
Sookaoon tari hai bazahair dil pay meri
Qayamat is kay andar hoo chalee hai
Humain tum say mohabat hoo chalee hai
Wah ..... kia tabah kun missra hay .....
Hum nay daikha hay perwanu ko jaltay
Humain maloom hay anjam appna
Tehra qalum taqdir ka teray naam pe ja kay
Yeh 'Dil e Azad' lekha tha katib nay appna
Adab Arz
(Azad)
Azad jee last character was Ya...
Reply to your posting
Apni awaz ke larzish par tu kaboo paa loo
Piyar kay bool tu hoontoon say nakal jatay hain
Apnay tawar tu sanabhaloo ka kaheen koyee ya na kahay
Dil badalatay hain tu chaharay behi badal jatay ahin
Na pooch mujhse fasaana gham-e-muhabbat ka
Ke yeh fasaana kisi ko mein sunaa nahee sakta
Na chair mujh ko ay mere hamdam-o-rafeeq na chair
Kisi ko raaz-e-muhabbat bata nahee sakta...
Next: Alif
Aa ja ka taray keemti waday par mout koo
Tala hai aaj mainay baray ihtaram say
Na chair mujh ko ay mere hamdam-o-rafeeq na chair
oy na chairr malangaaN nu
now reply to dilsay jee shair
Yeh sub tera karam hay aqqa
kay baat ab tak banni howi hay
Ya he wafa ka salia hai tu koyee baat nahi
Jo dard tum nay diya hai tu koyee baat nahi
Yahan kisi ko bhi kuch hasb-e-aarzo na mila
Kisi ko hum na miley aur kisi ko tu na mila
aaj to vo bhii kuchh Khaamosh saa thaa
mai.n ne bhii us se ko_ii baat na kii
ek dam us ke haath chuum liye
ye mujhe baiThe baiThe kyaa suujhii
Yuun hi tu shaakh sey pattey gira nahi kartey
Bichar ke log ziyada jiya nahi kartey
Jo aaney waley hain mausam unhein shumaar mein rakh
Jo din guzar gaye unhein gina nahi kartey
Yeh dil zara sa dil teri yadoon mein kho gaya
Zarre ko aandheyoo ka sahaara hai in dinoon
Har Sail-e-Ashk, Saahil-e-Taskeen hai aaj kal
Dareyaa ki mauj mauj kinaara hai in dinoon
Next: Noon
Na dill say aah na lab say sada nakaltee hai
Magar ya baat bari door ja nakaltee hai
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Na dill say aah na lab say sada nakaltee hai
Magar ya baat bari door ja nakaltee hai
[/QUOTE]
Yeh rukh rukhao mohabbat sikha gai us ko
Woh ruth kar bhee mujh se muskra kar milta hai
Yeh sari umar kis ashuftagi main rayegaan kar di
Ussi ko yaad rakha hai jisay dil se bhulana thaa...
Next: Alif
aap ne yuu.N hii ghuur kar dekhaa
ho.nTh to yuu.N bhii sil gaye hote
kaash ham aap is tarah milate
jaise do vaqt mil gaye hote