Ya he nahi ka hamain toor kar giya hai koyee
Usay behi khud ko bohat dair joorna hoo ga
Aaj tak rooh mein kaanta sa koi chubhta hai
Itna kuch keh ke bhi kehne ki tamanna hi rahi
Haaye woh zakhm jo zulfoon mein piroye na gaye
Uff woh aansoo jinhein behne ki tamanna na rahi
Next: Ye
yahan kisee ko be kuch hasb-e-aarzo na mila
kisee ko hum na milay or hum ko tuu na mila
Alif
Asr hai jis mein ke har mauj kaar-e-farma ka
Woh ik qatra hai haasil tamaam darya ka
aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne aitabaar kiyaa
terii raaho.n me.n baarahaa ruk kar
ham ne apanaa hii intazaar kiiyaa
**Azad~ **dard sar e aam bantt'tay kiyon ho
Tareeqa aissa Ahl e Dil ka pehlay to nahi tha
Adab Arz
(Azad)
Arz-o-sama kahan teri wasa'at ko paa sakay
Mera dil hai woh jahan ke tu sama sakay
ye dil kabhii na muhabbat me.n kaamayaab huaa
mujhe Kharaab kiyaa, aap bhii Kharaab huaa
Apney liye jeetay ho, dosron keliye jeena seekho
Pholon ki talab karney walon, kaanto per chalna seekho
Wo aa tu jaya magar intazar he kam hai
Wo bay wafa tu nahi mara piyar he kam hai
Ye aarzo thee tujhe gul ke robaro kartey
Hum aur bulbul betaab guftugo kartey
ye haqiiqat hai ki hotaa hai asar baato.n me.n
tum bhii khul jaaoge do-chaar mulaaqaato.n me.n
*Na hai dushmani kisi din se ab na hai dosti kisi rats se
Hai bacha hi kia jo wo le gaya mujhe chin kar meri zat se
*
YEH MERI UMER MERAY MAH-O-SAL DAY US KO
MERAY MOLA MERAY DUKH SAY NIKAL DAY US KO
vo diyaa jis se mere qalb-o-nazar raushan the
mai.n ne jab haath lagaaya to jale haath mere
ye alaG baat hai' ik humhi andhere meN rahe
zeest guzri hai magar sham'a farozaN ki tarah
Hanso aaj itna ke is shor mein
Sada siskiyun ki sunaee na dey
Ghulaami ko barkat samajhney lagein
Aseeron ko aisi rihai na dey
Yoon ye udas raha tu dekh leena aak din
Tamam shahar main tanhiyain becha doon ga
Ay Adem ahtiat logon say
log munkir nakeer hotay hain
nagarii nagarii phiraa musaafir ghar kaa rastaa bhuul gayaa
kyaa hai teraa kyaa hai meraa apanaa paraayaa bhuul gayaa
apanii biitii jag biitii hai jab se dil ne jaan liyaa
ha.Nsate ha.Nsate jiivan biitaa ronaa dhonaa bhuul gayaa