Na khush ho kamyaabi per ke hotay yun bhi dekha hai
Kinaare tak pohanch kar bhi safeenay doob jaatay hain
Next: Noon
Na khush ho kamyaabi per ke hotay yun bhi dekha hai
Kinaare tak pohanch kar bhi safeenay doob jaatay hain
Next: Noon
Nigaah-e-raaz jisey aashna-e-raaz karey
Woh apni khoobi-e-qismat per kiyun na naaz karey
Dilon ko fikr-e-do alam sey kar diya azaad
Terey junoon ka khuda silsila daraaz karey
Yeh jism koi rait ki deewaar nahi hai
Is tarha bhikarna mera miyaar nahi hai
Mehroom-e-tamanna hoon na maayus-e-tamanna hoon
Bas mere saath waqt ki raftaar nahi hai...
Next: Ye
ye raaz hai merii zindagii kaa
pahane huye huu.N kafan Khudii kaa
phir nashtar-e-Gam se chhe.Date hai.n
ik tarz hai ye bhii dil dahii kaa
Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil laga ke dekh liya...
Next: Alif
aaj kisii ne baato.n baato.n me.n, jab un kaa naam liyaa
dil ne jaise Thokar khaa_ii, dard ne ba.Dakar thaam liyaa
Apni hasti ko mita kar log aksar
Dosroon ko sanwaar jate hain
Baaz auqaat maslehat ke tehat
Jeetne wale bhi haar jate hain...
Next: Noon
na sochaa na samajhaa na siikhaa na jaanaa
mujhe aa gayaa Khud_ba_Khud dil lagaanaa
zaraa dekh kar apanaa jalwaa dikhaanaa
simaT kar yahii.n aa na jaaye zamaanaa
Aap kehtay thay rone se na badlenge naseeb
Umar bhar aap ki is baat ne rone na diya...
Next: Alif
Ulti hogayeen sab tadbeerein kuch na dava ne kaam kya
Dekha is beemaari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kya
Next:Alif
Aaj bahut din baad suni hai baarish ki awaaz
Aaj bohut din baad kisi manzar ne rasta roka hai
Rhim jhim ka malboos pehan kar yaad kissi ki aaee hai
Aaj bahut din baad achanak aankh yun hi bhar aaee hai...
Next: Ye
ye shab-e-firaq ye bebasii hai.n qadam qadam pe udaasiyaa.N
meraa saath ko_ii na de sakaa merii hasarate.n hai.n dhuaa.N dhuaa.N
Na koi dost hai na raqeeb hai, tera shehar kitna ajeeb hai
Woh jo ishq thaa, woh junoon thaa, yeh jo hijar hai woh naseeb hai
Next: Ye
yaa rab! Gam-e-hijraa.N me.n itanaa to kiyaa hotaa
jo haath jigar pe hai vo dast-e-duaa hotaa
'Alif'
Ab kaun muntazir hai hamaare leye wahaan
Shaam aagaee hai laut ke ghar jaayain hum tu kya...
Next: Alif
aa.Ndhii chalii to naqsh-e-kaf-e-paa nahii.n milaa
dil jis se mil gayaa vo dubaaraa nahii.n milaa
'Alif'
Anaa parast hai itna ke baat se pehlay
Woh utth kar band meri har kitaab kar deyga...
Next: Alif
Ajao gey Halaat ki zaad main jo kisi din
hojayega maloom khuda hai k nahin!
Na maza hai dushmani mein na hai lutf dosti mein
Koi ghair ghair hota, koi yaar yaar hota
[QUOTE]
Originally posted by Galaxy: *
**Na maza hai dushmani mein na hai lutf dosti mein
Koi ghair ghair hota, koi yaar yaar hota*
[/QUOTE]
A tujjay dill main basa kay........
Lay kaoon kahin saab say choora kay