Bait Bazi Part - LXVIII

Aaja ke abhi zabt ka mausam nahee guzra
Aaja ke paharoon pe abhi barf jami hai
Khushboo ke jazeroon se sitaroon ki hadoon tak
Is dehar mein sab kuch hai faqat teri kami hai

Next: Ye

Ye dua -e- shifa hai ya kuch aur
issnay bheja hai phool nargis ka!

Apnay kirdar ko mausam se bacha kar rakhna
laut kar ati nahin pholoon mein khusbhoo kabhi

Yaad phir aaya woh guzra hua saawan mujh ko
Phir meri aankh ne ronay ka bahaana chaaha

Next: Alif

[QUOTE]
Originally posted by Galaxy: *
**Apnay kirdar ko mausam se bacha kar rakhna
laut kar ati nahin pholoon mein khusbhoo kabhi
*
[/QUOTE]

:) galaxy !

Ayee dost Iss Chaman say aisay phool Chunn
kay haar shaks rashk karay teray zauk per!

Rafta rafta mere hathoon ki lakeraain urr gaeen
Qismatton ke bhaid mutthee mein bhi posheeda na thay

Next: Ye

Ye khudh Azeeyati kab tak Faraz tu bhi issay ,
na yaad kar jissay bhoolnay ki adaat hai!

Yehi mizaaj hai apna kisi ka dil na dukhay
Judaeyoon ko bhi chaaha hai qurbattoon ki tarah

Next: H

Hadd se baRh ker munasib neheeN dostee, is maiN andeshae badgumaanee bhee hay
dushmanoN sey ta'alluq to hay hee ghalat, dostoN maiN bhee kuch faasla chahiay

next:yey

ahan…howz tht???:mocking:

ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake
ki Gu.Nche khil to sake khil ke muskuraa na sake

Yeh ajeeb marhallay hain yeh ajeeb silsilay hain
Ke jahaan se hum chalay thay ussi morr per kharay hain
Wohi raasta hamaara hai wohi dagar hamaari
Jo na jaaye manziloon tak yeh wohi tu raastay hain

Next: Noon

na jaao haal-e-dil-e-zaar dekhate jaao
ki jii na chaahe to naachaar dekhate jaao

Waheen waheen pe zamaane ne tera naam liya
Jahaan jahaan bhi meri dastaan-e-gham pohanchi

Next: Ye

yuu.N na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuu.N dekh kar ha.Ns dete hai.n
tuu mujhe bhuul gayaa ho jaise

Yeh talkheyaan, yeh bojh, yeh mushkilain, yeh soz
Yeh yaadain hain in mein ek aur moti piroone do...
Kaise aankhain kahain inhain jo har dam jalte hain
Aaj mausam meharbaan hai tu inhain bhigoone do

Next: Wao

Woh mera pata mangay tu itna hi bataana
Ek jhonpari aati hai makanaat se pehlay

Next="Ye"

Yeh chirag-e-jaan bhi ajeeb hai ke jal raha hai abhi talak
Teri bewafai ki aandheyaan tu kab ki aa ke guzar gaeen

Next: Noon

Na kisi ke aankh ka noor hon na kisi ke dil ka qaraar hon
Jo kisi ke kaam na aa sakey mein ik masht-e-ghubaar hon