Bait Bazi Part - LXVIII

Raah-e-wafa mein hum ko khushi ki talaash thee
Do gaam hi chalay thay ke har gaam ro paray
Har shaam yeh sawaal ke muhabbat se kya mila
Har shaam yeh jawaab ke har shaam ro paray

Next: Ye

yehi nahi ke bas ghame safar humare saath hai
mizaje shabnam o dile sharar humare saath hai

'ye'

Yeh aur baat hai ke ansoo thay apni aankhon mein
Wagarna jatay huwe hum bhi muskuraaye thay bahut

Next: T

Kaheen dost tum sey na hojayein badzan
Jatao na apni muhabbat ziada
Farishtey sey behtar hai insaan banna
Magr is mein parti hai mehnat ziada

[QUOTE]
Originally posted by Galaxy: *
**Kaheen dost tum sey na hojayein badzan
Jatao na apni muhabbat ziada
Farishtey sey behtar hai insaan banna
Magr is mein parti hai mehnat ziada
*
[/QUOTE]

Ab to alfaaz bhi sath nahin detai hamari--------
Wo jaab sai giya hai haar cheez baijaan si ho gai hai

[QUOTE]
*Originally posted by Amarbail: *
Yeh aur baat hai ke ansoo thay apni aankhon mein
Wagarna jatay huwe hum bhi muskuraaye thay bahut

Next: T
[/QUOTE]

I think last word was T, don't know why ppl luv to break the sequence :(

[QUOTE]
*Originally posted by Swera: *

Ab to alfaaz bhi sath nahin detai hamari--------
Wo jaab sai giya hai haar cheez baijaan si ho gai hai

[/QUOTE]

Yaadain kuch is tarah se samaa'at pe chaa gaeen
Pichli rafaqatton ke siwa kuch nahee raha
Ek umer hogaee hai dil ki kitaab mein
Kuch khushk patteyyon ke siwa kuch nahee raha

Next: Alif

Ab koi mujh ko dilaye na mohabbat ka yaqeen
jo mujhay bhool na sakhtay theey wohi bhool gaye
aur kia chahati hai gardish e ayyam kay hum
apna ghar bhool gaye iski gali bhool gaye!!

Yeh dard kam tu nahee ke tu na milsaka
Yeh aur baat hai ke hum na ho sakay tumharay

Next: Ye

Ye udaasi ye pehaltay saye
Hum tujhay yaad karkay pachtaye!

Youn nafrat bhari nigahon sey na dekh humein
Kahin dil-e-nadaan in adaaon ko mohabbat na samajh bethey

Next: Ye

Yeh na thi humaari qismat ke wisaal-e-yaar hota
Agr aur jeetay rehtey, yahi intezaar hota

Ik baar jisay chaat gaye dhoop ki khwahish
Phir shakh pay us phool ko khiltay nahi dekha

Next: Alif

Is shehr-e-khraabi mein gham-e-ishq ke maarey
Zinda hain, yehi baat bari baat hai pyaaray

Next word :Ye

Yahaan badla wafa ka bewafaee ke siwa kya hai
Muhabbat kar ke bhi dekha muhabbat mein bhi dhoka hai

Next: Ye

Ya he nahi ka hamain toor kar giya hai koyee
Usay behi khud ko bohat dair joor na hoo ga

iss terhan tooth k bikhron terii chahat main
teri ankhon main doub ker zindagi tamam ker don

Na socha thaa yeh dil lagaane se pehlay
Ke tootega dil muskuraane se pehlay

Next: Ye

ye maharuumii nahii.n paas-e-vafaa hai
ko_ii tere sivaa dekhaa na jaaye

Yeh acha hai k apas k bharam na tootnay paiN
Kabhi bhi dostoN ko azma' kar kuch nahi milta