Bait Bazi Part - LXVIII

Yoon hee udas raha tu dekhna ak din
Tamam shahar main tanhaiyan becha doon ga

** Aaj tu be sabab udaas hai ji
Ishq hota tu koi baat bhi thee
Jalta phirta hon mein dopehron mein
Jaaney kiya cheez kho gayee meri**

yahii bahut hai ke dil us ko Dhuu.ND laayaa hai
kisii ke saath sahii vo nazar to aayaa hai

ye ishq ne dekhaa hai ye aql se pinhaa.N hai
qatare me.n samandar hai zarre me.n bayaabaa.N hai

Yeh kiya ke aik jahan ko karo waqf iztiraab
Yeh kya ke ik dil ko shakeeba na kar sako
Aisa na ho yeh dard baney dard-e-la dawa
Aisa na ho ke tum bhi madawa na kar sako

**

Woh nafratoon kay sawal kar kay,mohabbatoon kay jawab mangay
kay merey hissay mein kaante rakh ker mujh sey tazaa gulaab maangay**

*yeh husn-e-rafaqat ho ya tarq-e-rafaqat ho
ya aap badal jayen ya mujhko badalne dein
gham woh k laho karde andar se hamara dil
ham woh k pighall kar bhi Aanso na nikalne dein
*

Na milta gham tu barbaadi ke afsaanay kahaan jaatay
Agar duniya chamman hooti tu weeraanay kahaan jaatay

*yaqeen jano tumhari qurbataiN bhi hashr dhayen gee
K armanoN k aanga'rey to hargiz kam naheeN hongey
*

Ya aur baat hai ka insan ban kar aya hai
Magar wo shaksh zameen par khuda ka siya hai

Yeh gham nahi hai ho jisey koi bata sakey
Gham khwaari apni rehney deyaye gham gusaar bas

sabhii kuchh hai teraa diyaa huaa sabhii raahate.n sabhii kalafate.n
kabhii sohabate.n kabhii furqate.n kabhii duuriyaa.N kabhii qurbate.n
ye suKhan jo ham ne raqam kiye ye hai.n sab varaq terii yaad ke
ko_ii lamhaa subah-e-visaal kaa, ka_ii shaam-e-hijr kii qurbate.n

Najane kaun khushqismat gham-e-dauran se bach nikla
Dar-e-zindaan pe ek tooti huwi zanjeer dekhi hai...

Next: Ye

Yeh qismat ke dhaarey sada aik sey hain
samandar kinaarey sada aik sey hain

Najaane kab meri duniya mein muskurayega
Woh ek shaks ke khwaboon mein bhi khafa sa lagay

Next: Ye

Yeh bhi kia shaam-e-mulaqaat aayi
Lab pe mushkil sey teri baat aayi

Yehi nahee ke mujhe tor kar gaya hai koi
Ussay bhi khud ko bahut dair jorna hoga...

Next: Alif

Andaaz-e-Bayan Garchay Bohat shokh Nahin hay
Shayad ke tere dil main utter janye meri baat

(Te)

Thorri ruswaee tumhari bhi tu hogi yaaroo
Chapp gaye shair hamaare jo risaloon mein kabhi
Jin ka hum aaj talak paa na sake koi jawaab
Khud ko dhoondenge un talkh sawaloon mein kabhi

Next: Ye

ye kia hua kay kashti hamari hi ulaat gaye
sikhatay rahay jo leharoon ka ilim umar bhar!