Bait Bazi Part - LXVIII

Ek rawaayat hai ke 'Amarbail' dil ka nagar
Jis ne basaaya ussi ne barbaad kiya...

Next: Alif

aaj kii raat bhii guzarii hai merii kal kii tarah
haath aaye na sitaare tere aa.Nchal kii tarah

Hum ko tu umer khaa gaee khair humein gilla nahee
Dekh tu kya se kya huwe yaar ke khado-khaal bhi...

Next: Ye

ye daur-e-masarrat te tevar tumhaare.n
ubharane se pahale na Duube.n sitaare.n

Najane kin gham ke jugno'on ko chupaye phirti hai mutheyon mein
Kaeen dinoo se udaas rehti hai ek larki saheleyoon mein...

Next: Noon

What happened???

na kisii kii aa.Nkh kaa nuur huu.N na kisii ke dil kaa qaraar huu.N
jo kisii ke kaam na aa sake mai.n vo ek musht-e-Gubaar huu.N

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
na kisii kii aa.Nkh kaa nuur huu.N na kisii ke dil kaa qaraar huu.N
jo kisii ke kaam na aa sake mai.n vo ek musht-e-Gubaar huu.N
[/QUOTE]

**
Hosakay to kabhi bhool kai bhi mujhe yaad karlena
mehkin baharon ko phir sai sarsabzOshadaab karlena

Ashq bhi na daingay sath tera, gir pardain gay woh bhi
Meri khaatir kuch lamay apni ankho ko BEAAB karlena
**

Usay ya dar ka sitaray na guftgoo soon lain
Mujahay ya fikar ka sooraj nikalnay wala hai

*Yaadoon kai phool sookh na jain ishi liye
Aankhon ko ashkbaar kia hai kabhi kabhi
hum sai junoon-e-Ishq ka Aalam na poochiye
Apna hi Initizaar kia hai kabhi kabhi *

Yeh tay huwa ke hijar mein dharkenge saath saath
Do dil kabhi jo hogaye taqdeer se alag...

Next: G

[QUOTE]
*Originally posted by Amarbail: *
Yeh tay huwa ke hijar mein dharkenge saath saath
Do dil kabhi jo hogaye taqdeer se alag...

Next: G
[/QUOTE]

Gam kaa Khazaanaa teraa bhii hai meraa bhii
ye nazaraanaa teraa bhii hai meraa bhii...

[QUOTE]
*Originally posted by aysha: *

Gam kaa Khazaanaa teraa bhii hai meraa bhii
ye nazaraanaa teraa bhii hai meraa bhii...
[/QUOTE]

Bauhat saal guzray tere hijr main hamain yahan aisay
ab Dost bhi kehtay hain, kuch dinon sai tu udas bauhat hai

ham par tumhaarii chaah kaa ilzaam hii to hai
dushnaam to nahiin hai ye ikaraam hii to hai

Yun be-hijaab ho ke khullay aam mat nikal
Yeh phool sa badan bhi koi gull khilayega...

Next: Alif

aaj to be-sabab udaas hai jii
ishq hotaa to ko_ii baat bhii thii

Yun tu har ek ko mere fan se aqeedat hai magar
Kaun fankaar ke zakhmoo ki dawa karta hai...

Next: Ye

**Ye sach hai marta nahi koi bhi judaai mein
khudaa kisi ko kisi se magar judaa na karay

rahegi saath teri yaad zindagi bankar
ye aur baat meri zindagi wafaa na karay....

**

Yeh saari umer kis aashuftagi mein raegaan kar lee
Ussi ko yaad rakha hai jissay dil se bhulaana thaa...

Next: Alif

** "Aaj ujaale ki kiran kho gayi zindagi veraan se ho gayi,
gaye woh din jab humne unse umeed rakhi
Aaj yeh khoob ho gaya ki hamien mohabbat se nafrat ho gayi….."**