Bait Bazi Part - LXVIII

AankH nam na kar mere dard ki khatir ai mahboob!
Tere ik ansoo per mere hazaar dard qurban hon.

Naghmoon ki ibtidaa thee kabhi mere naam se
Ashkoon ki intehaa hoon mujhe yaad keejeyey...

Next: Ye

ye kis Khalish ne phir is dil me.n aashiyaanaa kiyaa
phir aaj kis ne suKhan ham se Gaayebaanaa kiyaa

ab kay hum bhichray to shayad kabhi khawaboon main milain
jis tarah sookhay hooway phoool kitabooon main milain

[QUOTE]
*Originally posted by amirbilal: *
ab kay hum bhichray to shayad kabhi khawaboon main milain
jis tarah sookhay hooway phoool kitabooon main milain
[/QUOTE]

Nisaab-e-Ishq sada aik sa Nahi rehta
naii kitaab naya imtihaan hota hai
har kitaab main phool miltay hain
Aik sookha hua gulistaan hota hai

;)

Yeh uddasiyoN kay mausam kahiN raayegaaN na JayeiN
Kisi zakHam ko khurido kisi Dard ko jagao.

[QUOTE]
*Originally posted by amirbilal: *
Yeh uddasiyoN kay mausam kahiN raayegaaN na JayeiN
Kisi zakHam ko khurido kisi Dard ko jagao.
[/QUOTE]

**
woh meri rasaiii main nahi hai to Ajab kia
Hasrat bhi to hai Ishq ka lehja usai kehna
Zarkhais zameenain kabhi banjar nahi hotin
Darya hi badal laytay hain rasta usai kehna **

kaam ab koii n aayegaa bas ik dil ke sivaa
raaste band hain sab kuuchaa-e-qaatil ke sivaa...

Abhi to Ishq main aisa bhi haal hona hai
kai Ashq rokna tum sai mahaal hona hai
tumhain khabar hi nahi tum to laut jao gay
tumharay hijr main to lamha bhi saal hona hai

ishq ko be-naqaab honaa thaa
aap apanaa javaab honaa thaa
terii aankhon kaa kuchh qusuur nahiin
haan mujhii ko Kharaab honaa thaa

AasmaaN say inayataiN na tujhay mileeN na mujhay mileeN
muhabatoN say raahataiN na tujhay mileeN na mujhay mileeN

Noon*

Namste Namste
Aalu Cholay Sastay :D

waaa kya baat heh…aap ko to say shair kehtai heh…:bukbuk:

[QUOTE]
*Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *
AasmaaN say inayataiN na tujhay mileeN na mujhay mileeN
muhabatoN say raahataiN na tujhay mileeN na mujhay mileeN

Noon*
[/QUOTE]

*Nahi aata aadab-e-Ishq hamain nibhana
warna kyuon tujh sai aisii wafa kartay
Jo tauba ko bhi maaf na karsakay
kyuon aisay Shakhs ko Khuda kartay *

Yeh jeeti jaagti duniya hai khwaab ki surat
Gaye dinoo ki hain yaadain azaab ki surat...

Next:T

Taqdeer bananay walay tu nay kami na kee
Aab kis ko kiya mila mukadar ke baat hai

Yun tu saathi chand lamhoo ke bahut milte rahay
Hum magar tanhaeyoon ki aag mein jalte rahay...

Next: Ye

ye kaisii muhabbat kahaa.N ke fasaane
ye piine pilaane ke sab hai.n bahaane

Yun tu hain be-shumaar wafa ki nishaaneyaan
Lekin har ek shay se niralay hain tumharay khat...

Next: T

tamaan umr azaabo.n kaa silasilaa to rahaa
ye kam nahii.n hame.n jiine kaa hausalaa to rahaa