Yeh sardeyoon ka udaas mausam ke dharkanain barf hogae hain
Jab un ke yakh bastagi parakhna tamazzatain bhi shumar karna
Tum apni majboreyoo ke qissay zaroor likhna wazahaton se
Jo meri ankhoon mein jal bhuji hain woh khwahishain bhi shumar karna
Yeh tere khushboo tere khwaab-o-khayal
Mataa-e-jaan hain tere qaul-o-qasam ki tarah
Guzishta saal inhain mein ne gin ke rakha thaa
Kisi ghareeb ki jorri huwi raqam ki tarah...
Ay dekhne waloon mujhe hans ke na dekho
Tum ko bhi muhabbat kaheen mujh sa na bana de
Aakhir koi surat bhi tu ho khaana-e-dil ki
Kaaba nahee banta hai tu butt-khaana bana de...
[QUOTE]
*Originally posted by Amarbail: *
Ay dekhne waloon mujhe hans ke na dekho
Tum ko bhi muhabbat kaheen mujh sa na bana de
Aakhir koi surat bhi tu ho khaana-e-dil ki
Kaaba nahee banta hai tu butt-khaana bana de...
Next: Ye
[/QUOTE]
*Yeh haya ka parda hi to hai jo shaan hai us Pathar kii
Warna yun poojnai kai liye to SangDil bauhat hain *