Bait Bazi Part - LXVIII

Na janay konsa lamha chura kay lay jay
Mataa e gardish e doraan hay zindagi apni

YEHI BOHET HAY K DIL US KO DHOUND LAYA HAY
KISI K SATH SEHI WOH NAZER TO AAYA HAY

ye barhamii ki naaz-e-iltifaat ke baad
ham ko maut kaa paiGaam hai hayaat ke baad

yeh jo dewanay say do chaar nazar aatay hain
in main kuchh sahib-e-israr nazar aatay hain

meray damin mein shararoan kay siwa kuchh nahin
aap phooloan kay khareedar nazar aatay hain

best regards

sorry wrong time per post ker dia

answer to Dilsay

dil pe ik tarfa qayamat kerna
muskaratay huway rukhsat karna

achhi aankhain jo mili hain us ko
kuchh to lazim hua wehshat kerna

aaj kisii ne baato.n baato.n me.n, jab un kaa naam liyaa
dil ne jaise Thokar khaa_ii, dard ne ba.Dakar thaam liyaa

ab to yah ashak mein honton say chura laita hoon
haath say inhain khood poonchoa gay to yaad aaoon ga

best regards

aap ko bhuul jaaye.n ham itane to bevafaa nahii.n
aap se kyaa gilaa kare.n aap se kuchh gilaa nahii.n

Nikalna khuld say aadam ka suntay aye hain lekin
Boht be-aabru ho kar teray koochay say hum niklay.

ye ab khulaa hai ki ko_ii bhii manzar meraa na thaa
mai.n jis me.n rah rahaa thaa vahii ghar meraa na thaa

aa key wabasta hain us husn ki yaden mujh se
jis ne is dil ko pari khana bana rakha hai

best regards

yeh rekh rekhao mohabbet sikha gaye us ko
woh routh ker bhi muskura ker milta hay

Yeh ajeeb khail hai ishq ka main nay aap daikha yeh maujza
Woh jo lafz meray gumaan main thay, woh teri zabaan pay aa gaey

Yeh kis muqaam pe laayi hai meri tanhaaii
Ke mujh se aaj koi bad-gumaan nahee hota...

Next: Alif

aaj kyaa dekhaa Khalaao.n ke sunehare Khvaab me.n
reg_zaaro.n ke sivaa kuchh bhii nahii.n mah_taab me.n

nazam-e-mai~khaana kuchchh aisa hi raha hai ke hameiN
kabhi saaqi kabhi meena kabhi saaghar na mila

Aankhoon mein urr rahi hai lutti mehfiloon ki dhool
Ibrat baar-e-dehar hai aur hum hain dostooo...

Next: Wao

Woh baRa Raheem o Kareem hai, mujhe yeh sifat bhi ata kare
tujhe bhoolne ki dua karooN to miri dua meiN asar na ho

[QUOTE]
*Originally posted by amirbilal: *
Woh baRa Raheem o Kareem hai, mujhe yeh sifat bhi ata kare
tujhe bhoolne ki dua karooN to miri dua meiN asar na ho
[/QUOTE]

Ho Mehfil main mera zikar aur main na hoon
Katay sath safar, Garcha humsafar main na hoon

Naqsh ki tarah ubharna bhi tumhee se seekha
Rafta rafta nazar aana bhi tumhee se seekha
Tum se haasil huaw ek ghehree samundar ka sakoot
Aur har mauj se larna bhi tumhee se seekha...

Next: Alif