yeh baatain jhooti batain hain yeh logon nain phailai hain
tum insha ji ka naam na lo kia insha ji saudai hain?
nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaa.N merii
Khaamoshii guftaguu hai, bezubaanii hai zabaa.N merii
Yaad-e-maazi, gham-e-amroz, umeed-e-farwa
Kitne saaye mere saath chala karte hain...
Next: Noon
Nazki us kay lab ki kia kehye
pankhri ik gulab ki si hai
Amir un neem baaz aankhon mein
sari masti sharab ki si hai
AMarbai's ANSWER , noon
Nahin hai aasaan daaman churdalena
yun hanstay huey aansoo chupa lena
dikh jaye ga sabhi ko teri ankhon sai
Roktay huey yun mujhe alwida kehna
Answer to AMIRBAIL , Haiy
hum bhi shakista dil hain parayshan tum bhi ho
andar sai rayza rayza meri jaan tum bhi ho..
hum bhi ghizan ki sham ka angan hain bachiragh
bailain jis ki zard woh dhalaan tum bhi ho..
vafaa ke bhes me.n ko_ii raqiib-e-shahar bhii hai
hazar! ke shahar ke qaatil tabiib-e-shahar bhii hai
Yeh humee thay jin ke libaas per sar-e-rah seyahi likhi gae
Yahi daag thay jo saja kar hum sar-e-bazm-e-yaar chale gaye...
Next: Ye
yahii haalaat ibtadaa se rahe
log hamase Khafaa Khafaa se rahe
Yeh chirag-e-jaan bhi ajeeb hai ke jal raha hai abhi talak
Teri bewafaee ki andheyaan tu kab ki aa ke guzar gaeen...
Next: Noon
na jaao haal-e-dil-e-zaar dekhate jaao
ki jii na chaahe to naachaar dekhate jaao
Woh jis ke naqsh-e-qadam se chirag jalte thay
Jalay chirag tu khud ban gaya dhuwaan woh shaks...
saa.Ns lenaa bhii kaisii aadat hai
jiiye jaanaa bhii kyaa ravaayat hai
koii aahaT nahii.n badan me.n kahii.n
koii saayaa nahii.n hai aa.Nkho.n me.n
na hareef-e-jaan na shareek-e-ghum shab-e-intzaar koi to ho
kise bazm-e-shauq mein laaein hum dil-e-bay qarar koi to ho
Woh oor hongay jinhain mout aagaii hogi
Nigah e yaar say paii hay zindagi main nay
ye aarazuu hii rahii ko_ii aarazuu karate
Khud apanii aag me.n jalate jigar lahuu karate
Yaad aai hai teri aur bhi shiddar sey Humein
Bhool jaaney ka tujhey jab bhi iraada chaaha
Yeh hich’kiyon ka tasalsul bata raha hay Qateel~
![]()
kia keh rahay ho samajh nahin aai
Kia ho gia dosto
koi sheir post karo na plzzzzzzzzzzzzzzzzz
Kuch to hotay hian muhabbat mein junoon ke asaar
aur kuch log bhee dewana bana detay hain