Bait Bazi Part - LXVIII

Woh mera pata mangay tu itna hi bataana
Ek jhonpari aati hai makanaat se pehlay

Next: Ye

Ya he wafa ka sila hai tu koyee baat nahi
Jo dard tum nay diya hai to koyee baat nahi

Yun phir raha hai kaanch ka paikar leye huwe
Ghaafil ko gumaan hai ke patthar na aayega...

Next: Alif

aa kai merii jaan meinn qaraar nahiin hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahiin hai…
:wave:

Yeh urri urri si rangat yeh khule khule se gaisoo
Teri subha keh rahi hai teri shaam ka fasaanaa...

Next: Alif

Abhi behi waqat hai lot jaoo
Mujahay tum say mohabat ho chali hai

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Abhi behi waqat hai lot jaoo
Mujahay tum say mohabat ho chali hai
[/QUOTE]

honthon pe kabhii un ke meraa naam hii aaye
aaye to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aaye...

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De

ye bhii kyaa ehasaan kam hai.n dekhiye na aap kaa
ho rahaa hai har taraf charchaa hamaaraa aap kaa

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
ye bhii kyaa ehasaan kam hai.n dekhiye na aap kaa
ho rahaa hai har taraf charchaa hamaaraa aap kaa
[/QUOTE]

kyaa kahuun tum se meh ke kyaa hai ishq
jaan kaa rog hai, balaa hai ishq...

REPLYING TO DILSAY,, STARTING,, ALIF

Ankhain bata rahi hain woh raat jaaga hai
Dil ko behla kai, chupa kai jazbat jaaga hai
so gaye hongay tere hi taray kal raat, hasan
jo too itni der honay kai baad, aaj jaga hai !!!

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *

[/QUOTE]

ahsaas howa barbadi ka jub saray ghar mein dhool uri
aayee hai hamare aangun mein pat-jhur ki hawa dheere dheere

[QUOTE]
*Originally posted by Zakhmi Umar: *

ahsaas howa barbadi ka jub saray ghar mein dhool uri
aayee hai hamare aangun mein pat-jhur ki hawa dheere dheere
[/QUOTE]

daaG duniyaa ne diye zaKhm zamaane se mile
ham ko ye tohafe tumhen dost banaane se mile...

ye haqiiqat hai ki hotaa hai asar baato.n me.n
tum bhii khul jaaoge do-chaar mulaaqaato.n me.n

yak lakhat gira hai to jarain tak nikal aaein
jis pair ko aandhi mein bhi hiltay nahin daikha

kaanton mein ghiray phool ko choom aaye gi laikin
titli kay paron ko kabhi chhalaktay nahin daikha

[QUOTE]
*Originally posted by amirbilal: *
yak lakhat gira hai to jarain tak nikal aaein
jis pair ko aandhi mein bhi hiltay nahin daikha

kaanton mein ghiray phool ko choom aaye gi laikin
titli kay paron ko kabhi chhalaktay nahin daikha
[/QUOTE]

wah jee wah

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
ye haqiiqat hai ki hotaa hai asar baato.n me.n
tum bhii khul jaaoge do-chaar mulaaqaato.n me.n /QUOTE

:)

majabuurii ke mausam mein bhii jiinaa partaa hai
thoraa saa samajhautaa jaanam karanaa partaa hai...

ye nikhato.n kii narm ravii ye havaa ye raat
yaad aa rahe hai.n ishq ke TuuTe ta'alluqaat

teray charchay hain jafa say teri
log mer jaaein bala say reri

ya dil ka roug ya chahat khuda kisi ko na day
buri bala hai mohabat khuda kisi ko na day