Bait Bazi Part - LXVIII

Aaj tu jee bhar kay pyaar karnay day
Kal ka suraj na tu ubharnay day .......
Janay kitni musafaton ka thaka haara
Teri bahon main gira hay aram karnay day

Adab Arz
(Azad)

Yaad-e-mazi azab hay yarub
cheen lay mujh say hafezah mera

Ulfat pay wafa pay jaan nisaari pay meri
Aagey nahi rotey they ab royein gey

ye bhii kyaa ehasaan kam hai.n dekhiye na aap kaa
ho rahaa hai har taraf charchaa hamaaraa aap kaa

yeh ishq bhi kia hay?isay apnayai koie aur
chahoun main kisi aur ko yaad aayai koie aur
us shekhs ki mehfil kabhi berpa ho to daikho
ho ziker kisi aur ka shermayai koie aur

Rah e wafa jaab na mil saka koyree shareek
Hum sath sath apnay he siya ka chal diya

is ke woh janay use pass-e-wafaa tha ke na tha
tum fraz apne tarf se to nebahtay jatay

"YEH'

Ya he wafa ka sila hai tu koyee baat nahi
Jo dard tum nay diya hai to koyee baat nahi

Najanay kon duaon main yaa rekhta hay
main doubta hoon samender uchal daita hay

hona to wahe heh jo muqaddar meh likha heh
lekin wo meray khwaab, merai khawaab, merai khwaab....

Bay sabab ank chooranay ke zaroorat kiya hai
Apnay jhagharay main zamanay ke zaroorat kiya hai

Yeh boriyat itni ziyada ho rahi hay Azad~
Marnay ko jee karay bhi kaisay marain abhi :konfused:

asi batain nahi kartay Azad
pata nahi konsa waqat kabuliyat hoo

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *

asi batain nahi kartay Azad
pata nahi konsa waqat kabuliyat hoo
[/QUOTE]

forget it

Woh kiyon daikh pata nahi wajood mera
Jitnay zaray hain her sehraa main phaylay
naseha! zara zara gawahi day raha hay
Zindagi hum say thi Junoon say pehlay

Adab

yaar ko raGbat-e-aGyaar naa hone paaye
gul-e-tar ko havaz-e-Khaar naa hone paaye

Yeh tairGi adat nahi naseeb hay Warna
Hum to her waqt dil e Azad~ jalay rakhain

Adab

(Azad)

nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad
vahii hai haal hamaaraa jo ho gunaah ke baad

Dhaik Azad~ humain zindagi nay haar dia
Woh zindagi jisay hum nay bohut sa pyar dia

Adab
(Azad)

aa chaa.Ndanii bhii merii tarah jaag rahii hai
palako.n pe sitaaro.n ko liye raat kha.Dii hai

Yeh sub taray ashna hain palkon kay Azad~
Palay yeh aankh main kehkashaan say pehlay

Adab
(Azad)