is say aik baar to roothun main ussi ki manind
aur mere tarah say woh mujh ko mananay aaye
**
Yun bhi hoga woh mujhe dil se bhula deyga magar....
Yeah bhi hoga khud ussi mein ek khala reh jaayega...
**
Agar choop chap tum dekhoo tu dam aram say niklay
Idahar hum hichki latay hain udhar tum roonay lagtay hoo
**
Woh tamanna lutt gaee phir bhi tere dam se muhabbat hai
Mubaarak gair ko khushiyaan mujhe gham se muhabbat hai
**
Ye ajeeb kheil hey ishq ka meiN ney aap deiha ye mojza
wo jo merey gumaaN meiN the wo teri zubaaN pe aa gaey
"ye"
**
Yehi dil thaa ke tarasta thaa marasim ke leye
Ab yehi tark-e-taaluq ke bahaanay mangay
**
yaad kyaa dast-e-hunar hai ki sa.Nvarataa gayaa mai.n
us ko sochaa to use yaad hii karataa gayaa mai.n
**
Na milta gham tu barbaadi ke afsaanay kahaan jaatay
Agar duniya chamman hooti tu weeraanay kahaan jaatay
**
Yehi hai zindagi, kuch khwaab chand umeedain
Tum in khilaunoo se behal sako tu chalo
vahii sipaah-e-sitam Khemaazan hai chaaro.n taraf
jo mere baKht me.n thaa ab nasiib-e-shahar bhii hai
Yehi wafaaoN ka sila hey to koi baat nahi
ye dard tum ney dia hey to koi baat nahi
kis ko majaal hey ke koi kahey diwaana mujhey
agar ye tum ney kaha hey to koi baat nahi
"ye"
ye shiishe ye sapne ye rishte ye dhaage
kise kyaa Khabar hai kahaaN TuuT jaayeiN
muhabbat ke dariyaa mein tinake vafaa ke
na jaane ye kis moD par Duub jaayeiN
by the way Amal, doesn't nahi(n) end with a noon(ghunna)???
na khosh ho kamyabi par keh hota yun bi dekha hay
kinaray pohanch kay aksar safeenay doob jatay hain
"noon"
.
Meray Sabar Ka Ajar Kya..... Meri Dopaher Pe Yeh Aber Kion...Mujhay Orhnay Do Azeeyatain....Meri Aadatain Na Kharab Kar.
The End.
Na samajh tha hum ne bola hum zamin per hain udhar
chor ker ghar bar apna jaakey char betha pahaard.
"Rdey" is the last
[QUOTE]
*Originally posted by ~Nazish~: *
by the way Amal, doesn't nahi(n) end with a noon(ghunna)???
[/QUOTE]
~Nazish~ nahi aur naheiN do alag words heiN. Nahi 'ye' par khatm hota hey aur NaheiN 'noon-gunna' par. Roz-marra ke istimaal meiN donoN alfaaz meiN ziada tameez nahi barrti jaati, lekin ye donoN baahar'haal do alag alag lafz heiN.
Raja ji ab ye "Rdey" sey kahaaN sey sheir
ley kar aaeiN hum?:( Wesey lagta hey ye sheir
specifically humaarey leeye museebat ka "pahaard"
kharra karney ke leeye banaaya gaya hey ;)
Someone please suggest me a word with "Rdey" so that
I could make a sheir with that. That's the only way out:)
Iss deed kii saa'at meiN kai Rang haiN LarzaaN
maiN huN ke koi aur hay duniyaa hay ke tum ho
wao*
**
wo log jinhey haNsey ka hunar nahi aata
wo log aksar aaNsuoN meiN doob jaatey heiN
"noon"
nahiN minnat-kash-e-taab-e-shaniidaaN dastaaN merii
Khaamoshii guftagu hay, be-zubaanii hay zubaaN merii
Tapak aey shama Aansoo ban ke parwaane kii AankhoN say
saraapaa dard huN hasarat bharii hay dastaaN merii
Ye*
Ye hasrateiN ye khaahisheiN ye aarzu ye justuju
yuN sochney ko beitthey to zindagi meiN kya nahi
"ye"