Bait Bazi Part - LXVII

Dasht-e-tanhaaii mein aey jaan-e-jahaaN larzaaN haiN
terii Aawaaz kay saaey teray honthoN kay Saraab

Be*

**
Baarish huui to phooloN ke tan chaak ho gaey
mausam ke haath bheeg ke saffaak ho gaey

"ye"

Yeh jo ZindagaNi ka khail hay,Ghum-o-Insebaat ka maiL hay
Ussay QadaR kya ho BahaaR ki! Kabhii dekhii Jis nay KhizaaN nahiN

Noon*

**
Na jaaney kon duwaaoN meiN yaad rakhta hey
meiN doobta hooN to samandar uchaal deta hey

"ye"

ye mujhsay puuchhiye kyaa justuju meiN Lazzat hay
fazaa-e-dahar meiN tahaleeL ho geyaa huuN maiN

Noon*

**
Na ho maaiyoos aey Wasif agar to dil shikasta hey
shikasta ho ke is seeshey ki qeemat kam nahi hoti

"ye"

Ya he nahi ka hamain toor kar giya hai koyee
Usay behi khud ko bohat dair joorna hoo ga...

Aisa lagta hai phir apni uljhanain barrh jayengee
Aaj phir mujh ko kisi ki saadgi achi lagee

Ya apnii khawahishoN ko mo'atbar na jaaniye
ya khawhoshoN kay saath hii mar jaana chahiye

Ye*

**

ye aarzoo thi tujhey gul ke rubaru kartuy
ham aur bulbul-e-betaab guftagoo kartay

"ye"

ye dastuR-e-zabaaN-bandi hay kaesi teri mahfil meiN
yahaaN tou baat karney ko tarastii hay zubaaN merii

Ye*

yaa rab! Gam-e-hijraa.N me.n itanaa to kiyaa hotaa
jo haath jigar pe hai vo dast-e-duaa hotaa

**
Aur had sey guzar jaye ga andoh nihaani
Thak jayengee tarsi hui nakaam nigahein
Chin jayengey mujh sey merey aanso, meri aahein
Chin jayegee mujh sey meri bekaar jawani**

[QUOTE]
Originally posted by Galaxy: *
*

Aur had sey guzar jaye ga andoh nihaani
Thak jayengee tarsi hui nakaam nigahein
Chin jayengey mujh sey merey aanso, meri aahein
Chin jayegee mujh sey meri bekaar jawani**
[/QUOTE]

Yeh charaagh baynazeer hay, yeh sitara bay-zubaan hay
abhi tujh say milta joulta koe doosra kahaan hay

(Yeyyy)

Yeh uskaa Tarz-e-takHaatub bhi kHoob hai "Mohsin"
Rukaa rukaa saa Tabbasum kHafaa kHafaa se AaankheiN

(Mohsin Bhopaali)

Na kah ka tum nay sari batain kar deen
Aur main un kay jawab kay lafz dhoondta raha

by Dilsay

Ab aik hajum ey shikustah dilyun hai sath apney
Jinhey koi na mila humsafar hummarey hoey
Kisi ney ghum tu kisi ney mizajey ghum bhuksha
Sub apni apni jagha chara-ger hummarey hoey

Yeh matlab ka banda, woh matlab ka banda
Nahin farq kuch shaikh aur barhaman mein
Teri yaad baqi, tera gham salamat
Behalta nahin dil kisi anjuman mein

Nehin rehi abb junoon ki zunjeer per woh pehli ajjaareh dari
gireffet kertay hain kernay walay khered peh deewaneh pun say pehlay

yaad kisii kii chaa.Ndanii ban kar koThe koThe utarii hai
yaad kisii kii dhuup hu_ii hai ziinaa ziinaa utarii hai