Bait Bazi Part - LXVII

Rules of Bait Bazi:

  1. Shair should be genuine and not a fabricated one.
  2. One “response shair” is allowed per shair.
  3. Dont break the chain and always follow the last posted shair.
  4. If more than one shair is posted in response, follow the last posted shair.
  5. If you know the name of the poet, mention that (for other’s knowledge sake).
  6. We should follow urdu alphabets.
  7. Always mention the last urdu alphabet of your shair. (if it’s “HAMZA” by any chance,
    which could hardly be the case, then also mention the second last alphabet).
  8. Do not write out the whole ghazal/nazam; only two shairs (i.e. Rubai, qita) at max
    will be allowed.
  9. Avoid posting film songs.
    Shuriya :slight_smile:

uRtay uRtay aas ka panchi duur ufaq mein doob gaya
rootay rootay baith gaiy awaz kisi saudai ki

-Qateel Shafai

ye kya kay sansain ukhar gayeen aghaz hi say yaaron
koi thak kay na rastay main nidhal hoga ye tyee hoa tha...

"alif"

Agar chup chap tum dekhoo tu dum aram say niklay
Idhar hum hichki latay hain udhar tum roonay lagtay hoo

Woh mujh se pooch raha thaa batao kaisa laga
Tum aglay zakhmoon ko choro yeh ghao kaisa laga
Ajab sawaal kia hai aandheyoon ne pattoon se
Shajjar se toot ke girna batao kaisa laga

'Alif'

Re: Bait Bazi Part - LXVII

aKhlaaq na barte.nge mudaaraa na kare.nge
ab hm kisii shaKhs kii paravaah na kare.nge

Yeh kaun chupke se tanhaeyoon mein kehta hai
Mere baghair sukoon umer bhar nahee milna

a.nga.Daa_ii bhii vo lene na paaye uThaa ke haath
dekhaa mujhe to chho.D diye muskuraa ke haath

Hawaaon ki tarannum main gana merey liye geet
Woh tamam shab mujhay takta rehna chupkay say
Aas hay kay phir say lot ayengey woh din woh raat
Warna ay umar-e-rawaan uhin beet jana chupkay say

Yaad-e-khuda mein jab na gayi dil sey ki yaad
Aagey khuda ka naam hai Nasih khuda key baad

*Dil ke lutne ka sabab poocho na sab ke saamnay
Naam aayega tumhaara yeh kahaani phir sahi
Ay wafa na-aashnaa, mausam teri judaee ka
Kis tarha hum ne guzaara, yeh kahaani phir sahi
*

Yeh sab haath hain khoon sey jin ke tar
Yehi they maseeha, yahi chara gar
Jigr ki khabar hai na dil ki khabar
Magr lar rahi hai nazar sey nazar

*Rokay kahaan rukay hain muhabbat ke kafilay
Bas yun huwa ke dil ne zamaane badal leeyay
Socha ussay tu na milne ki thaan lee
Dekha ussay tu saray bahaane badal deyay *

Ya kiya ka hum ko mohabat ka wasta day kar
Dua ka rung main dee tum nay baad dua hum koo

(By Dilsay)

Woh faasla thaa dua aur mustajabee mein
Ke dhoop maangne jatay tu abar aajaata

ik tarz_e tagaful hai so wo un ko mubarak
ik arz_e tamana hai, so hum kartay rahain gay

ye raaz hai merii zindagii kaa
pahane huye huu.N kafan Khudii kaa

Agar bewafa tujh ko pehchaan jaatay
Khuda ki qasam hum muhabbat na kartay
Jo maloom hota yeh anjaam-e-ulfat tu
Dil ko lagaane ki jurrat na kartay

Ye sabhi weraniyaa'n uss ke juda honay say theen
aankh dhundalai hoi thi shehr dhundlayaa na tha
yaad kar ke aur bhi taqleef hoti hai adeem
ab sawaye bhool jaanay ke koi chara na tha