Bait Bazi Part - LXVII

Woh behijaab jo pee ke kal sharaab aaya
Agarche mast tha mein, per mujhe hijaab aaya

Aao bhi to dar e dil pay dastak dayna
Ban kay dharrkan tu nay hay akylay rehna

Palatt kay jao to band kar layna darwaza
Gham kay sa'ay talay dil nay hay akylay rehna

Adab Arz
(Azad)

hummmm dil dhonddta hay phir wahi fursat kay raat din.

bewaqoofi ki inteha he nahi shairi kiya hai kuch pata he nahi
jo samajh aya usko shair kaha neem ke goliyoon ko bair kaha

[QUOTE]
*Originally posted by Raja_Khan: *
bewaqoofi ki inteha he nahi shairi kiya hai kuch pata he nahi
jo samajh aya usko shair kaha neem ke goliyoon ko bair kaha
[/QUOTE]

jinaab, yeh tu aap ko pata hona chahiye.......next sher us sey hona chahiye jis letter per last sher end hua tha.....

Uskey jaatey hi yeh kiya hogayi ghar ki soorat
Na woh deevaar ki soorat hai na ghar ki soorat

Buhat Khoob:k:..
:flower1:…

Teri yaad say jee nahi bharta
Ouron say jee churanay ko kia nahi karta
Din to katt hi jata hay jaisay taisay
Na guzray raat thak jata hon ahain bharta

Abad Arz
(Azad)

Tum na samjhey mera maqsad shair kiya kehney ka tha
jisne samjha share jisko wo yahaan per keh gaya

mujhe second time kehna par raha hai…yahan per sher ka jawaab sher mein diya jaata hai.

[QUOTE]
*Originally posted by Raja_Khan: *
Tum na samjhey mera maqsad shair kiya kehney ka tha
jisne samjha share jisko wo yahaan per keh gaya
[/QUOTE]

**
Agarchay gosha guzeen hon mein shairon mein meer
Peh merey shor ney ruey zameen tamaam liya**

aaik shaair main bhi hoon jo kuch kahon khud ka kahon
na mujey Ghalib se matlab na mujhey kuch meer se

Yeh kiya majaal ke hum tark-e-iltijaa kartey
Dhun ko see bhi jo letey nazr ko kiya kartey

Yeh Ada'ay Khud-fareebi To Mizaj Hay Hamaara
Na Qareeb Tha Kinaara, Na Qareeb Hay Kinaara
Na Khata Hay Dooston Ki, Na Qasoor Hay Tumhaara
Mujhay Rahay-Dosti Main Meri Sadgi Ney Maara

ashk-e-gham aankh se jaari the sitaron ki kasam
aag seene mein bharakti thi shararon ki kasam

Mujhey rokey ga tu aye nakhuda gharq honey sey
Key jin ko doobna ho, doob jaatey hain safeenon mein

Nakhuda khud boojh kum karney ke sochey hai
bhala wo kiyoun tumhain roke jo merna hai to mar jaao

Woh nafratoon kay sawal kar kay,mohabbatoon kay jawab mangay
kay meray hissay main kantay rakh kar woh mujh say taza gulaab mangay

ye aik pehlu hai dosti ka jo tum ko samjhey wo tum se maangey
jo apney daman main khaar bhar ley bhala wo tum ko kiy phool bantey

( I liked your Shaire I just made this up in reply ) Very Nice.

Yeh shikaayat nahi, hain inke khazaney mamoor
Nahi mehfil mein jinhein baat bhi karney ka shaoor

Rishtay bhi ajnabi thay ajnabi dayyar ke
Wohi dushman-e-jaan huwa jisay dil main jagah di hum ne
Ehal-e-dduniya dushmani janaae kis taur nibaah laite hain
Ek dosti nibhaane mein umer ganwaa di hum ne