Ye khazaaN ki zard se shaam mein jo uddas pairh ke paas hai
Ye tumhare ghar ki bahaar hai, issay aansoo'on se harra karo.
Wohi raasta hamaara hai, wohi dagar hamari
Jo na jaaye manziloo tak, yeh wohi tu raastay hain
Rahe saath saath har pal, na gumaan huwa yeh mil kar
Jissay dosti thay kehtay, woh kuch aur silsilay hain
no reply ???
yes reply :p
na`khush haiN kabhi but, kabhi naaraaz haram hai
ham dil~zadagaaN ka na khuda hai na sanam hai
Ahmad Faraz
Yeh shama ulfatoon ki bhujne na denge hargiz
Nafrat ki garche ab ke kuch taiz hi hawa hai
Hans kar kaha yeh usne, yon mujh se dil lagaaya
Dil torne ki is say behtar koi ada hai
yehi andaaz tu bas unke sitam dhaate hain
na wo rukte hain, na aane ki kasam khaate hain
next word: NooN
Naseeb kaisay situm shanass say ttakray meray
Na koi aah na faryaad kaam aay meray
Yeh kiasi chali hay sheher main hawa udassi ki
Phirain lay kar kassa'y dil na kaam aay meray
Adab Arz
(Azad)
Yeh aur baat hai keh sharminda-e ta'abeer na hon
har zehen main warna kuchh Taj Mahal hotay hain.
Nafraton ko saha jaye kaise, yeh zehar aisa hai
Jo utarta nahe hai dil mein, Yeh tu saraeyyat kar jata hai rooh mein