aabalaapaa ko_ii is dasht me.n aayaa hogaa
varnaa aa.Ndhii me.n diyaa kis ne jalaayaa hogaa
Aye phool! saba hamesha mehkaye tujhe
Aye chand! ghata kabhi na sanwalaye tujhe
ye haqiiqat hai ki hotaa hai asar baato.n me.n
tum bhii khul jaaoge do-chaar mulaaqaato.n me.n
*Na abb raqeeb na naSeh na ghum gusar koi
tum ashaNa thay tou theiN ashanaYaN kiya kiya
*
Ab us ke hijr maiN rote haiN us ke khayhaal bhii
khabar na thii ke vo zaalim habiib-e-shehar bhii hai.
Ye ajnabi si manzaliaN aur raftagaN ki yaad
tanhayooN ka zehar hay aur hum haian dostOoN
Nikale haiN tou raaste maiN khaiiN shaam bhii hogii
suuraj bhii magar aayegaa is raah-guzar se
*ya aik shab ki mulaqaT bhi ghanimaT hay
kissay hay qul ki khabar thori dour sath chaloo
*
vo Gazal vaalo.n kaa usluub samajhate ho.nge
chaa.Nd kahate hai.n kise Khuub samajhate ho.nge
itanii milatii hai merii Gazalo.n se suurat terii
log tujhako meraa mahabuub samajhate ho.nge
Yeh dil hai aaena, tum ho soorat nahi hai yaan naam ko kadoorat
Kis ko ghar mein biula bithaoumarey dil mein tumhara ghar hai
WaH WaH WaH:flower1:..
Broken Sky sahab…yahan per sher ka jawaab sher mein diya jaata hai na ke uski tareef ki jaati hai…u r in BAITBAZI:nahnah:
ya apney paon main mujhay girnay say rok day
ya meri lagzashon ko ibadat shumar kar
raato.n me.n gar na ashk bahaa_uu.N to kyaa karuu.N
ik pal bhii us ko bhuul na paa_uu.N to kyaa karuu.N
Noon
Na daru pee na cigrette pee na apni aankh purnam kar
teri mushkil ka hul hai kood ke merja pahardi se
Yaad mein teri jahan ko bhoolta jaata hon mein
Bhoolney waley kabhi tujh ko bhi yaad aata hon mein
nazm-e-mai~khaana kuchchh aisa hi raha hai ke hameiN
kabhi saaqi kabhi meena kabhi saaghar na mila
Ahmad Faraz
Agar choop chap tum dekhoo tu dam aram say niklay
Idahar hum hichkee latay hain udhar tum roonay lagtay hoo
kayee rutoon se band hamare dil ka har darwaza hai
us ke naam ka phool abhi tak pehle jaisa taazah hai
khud se bhi jo baat chupai shahr main kaise phail gayee
ya deewarain bol padheen ya loagon ka andazah hai
*
Ya bhi bara karam hay salamat ha jisam abhi
ay khusraWan shaher qabian mujhay na dou
*