Ik Izteraab sa rakhtaa hooN apne pehloo meiN
SakooN meiN Rang-e-kHatar saath le ke chaltaa hooN
Na jaaney kitni rangeen suhbatein hain meri nazron mein
Bas aye mutrib! meri aankhon mein aanso aaye jaatey hain
na tum mere na dil meraa na jaan-e-naatavaa.N merii
tasavvur me.n bhii aa sakatii nahii.n majabuuriyaa.N merii
Ye thi na hamari kismat ke visal-e-yaar hota
Ajar aur jita ratha …Yehi intizar hota:flower2:
first of all welcome to you…
yahaa.N mahak vafaao.n kii hai qah-qaho.n ka arang hai
ye ghar tumhaaraa Khvaab hai ye ghar merii uma.ng hai
na aarazuu pe qaid hai na hausale par ja.ng hai
hamaare hausale kaa ghar hamaarii himmato.n kaa ghar
raham ai Gam-e-jaanaa.N baat aa ga_ii yaa.N tak
dasht-e-gardishii-e-dauraa.N aur mere garebaa.N tak
kaamaraan yuu.N thaa meraa baKht-e-javaa.N kal raat ko
jhuk rahaa thaa mere dar pe aasamaa.N kal raat ko
husn jab thaa ishq ke ghar mahamaa.N kal raat ko
uTh chukaa thaa har hijaab-e-daramiyaa.N kal raat ko
Woh baRa Raheem o Kareem hai, mujhe yeh sifat bhi ata kare
tujhe bhoolne ki dua karooN to miri dua meiN asar na ho
Wuh tou khusbuu hay Ussay chuum sako gay kaesay
marr bhii jaao tou ye Armaan nahi niklay gaa kabhii
Ye*
ye aarazuu hii rahii ko_ii aarazuu karate
Khud apanii aag me.n jalate jigar lahuu karate
tere jamaal kaa paratau nigaah me.n hotaa
kabhii sabaa se kabhii gul se guftaguu karate
Yeh ishq na hota to koi our Addu hona tha
Tum mil bhi jatay to koi our khwab hona tha
Zehir ban kar ragoon main meri Woh phail gia
** Azad¬ **mout ki sorat nay abhi our haseen hona tha
(Azad)
Aab kay sal punam main jaab tu aya gee milnay
Hum nay sooch rakha hai raat yoon guzarain gay
Dharkanai bechay dain gay shookh tary kadmoon main
Hum negaha say tari arti utarain gay..
Yah Kia Ke Chor Gia Is Dasht Main Tanha Mujh Ko
Tu To Maira Dost Tha Maira Habeeb Tha
Pal Do Pal Ki Rafakatain Hain Bas Zindagi Ka Hasil
Shaid Mairi Wafaon Ka Yahi Naseeb Tha
aa.Ndhii chalii to naqsh-e-kaf-e-paa nahii.n milaa
dil jis se mil gayaa vo dubaaraa nahii.n milaa
aavaaz ko to kaun samajhataa ki duur duur
Khaamoshiyo.n kaa dard-shanaasaa nahii.n milaa
Aayee jo tumhe kabhi beetey dinon ki yaad,
Tanhaee se bhi guftgu kiya karogey tum
Khaogey jis dam fareb raah-e-ishq me,
Wafa se Lipat kar meri roya karogey tum
Mosuma e gul hai mahraban aab kay
Hum par tanhiyoon ka siya hai
Baz oquat raat yoon guzri
Tu behi kam kam he yaad aya hai
yehi nahiN ki tamanna kahi nahiN jaati
nazar bhi unki taraf aaj kee nahiN jaati
*Ya Rab! ikhtilaat ka anjaam ho bakhair
Tha usko hum sey rabt magr is qadar kahan
*
Na shanaasa jis ki devarain hain dar bhi ajnabi
Woh mila mujh ko hamesha ek naye ghar ki tarah
Aathee hai
Aathee hai kis thara say meri kabza rooho ko
Dhekoon too mauth dhoond rahee hai bahana kiya…![]()