Bait Bazi Part - LXVII

Just moving this forward.....

ye jo zindagii kii kitaab hai ye kitaab bhii kyaa kitaab hai
kahii.n ik hasiin saa Khvaab hai kahii.n jaan-levaa azaab hai

ok ..

Yeh her aik pal jo kharabon main basar kartay hain
Subh o shamm tthandi aakhain bhara kartay hain
Qatra Qatra jo gira aashq khooN rang howa !!!!!!!!!!
Kartay kartay barri mushkil say sahar kartay hain

Adab Arz

(Azad)

na Khauf-e-barq na Khauf-e-sharar lage hai mujhe
Khud apane baaG ke phuulo.n se Dar lage hai mujhe
ajiib dard kaa rishtaa hai saarii duniyaa me.n
kahii.n ho jalataa makaa.N apanaa ghar lage hai mujhe

Yeh merey ishq ki majbooriyan muaaz-Allah
Tumhara raaz tumheen sey chupa raha hon mein
Bataney waley waheen per batatey hain manzil
Hazaar baar jahan sey guzar chuka hon mein

"Na kisi ki aaNkh kaa nuur hoN, na kisi ke dil kaa qaraar hoN
jo kisi ke kaam na aa sake meiN woh ek musht.e.Ghubaar hoN..

naasihoN ko kon samjhaaye na samjhe ga Faraz
woh to sab ki baat sun le aur man maani kare

(Ahmad Faraz)

ya to tum khud hi na jaanay kay liyay aa jaao
ya chulay jaain phir hum jaakay na aanay kay liyay

yeh sach hai ke kuchh kastiya doob bhi jaya karti hai,
par saahil to wahi rehta hai kinare ho ya na ho

Go on doobti_kashti:nahnah:

vo behisaab jo pii ke kal sharaab aayaa
agarche mast thaa mai.n par mujhe hijaab aayaa
idhar Khayaal mere dil me.n zulf kaa guzaraa
udhar vo khaataa huaa dil me.n pech-o-taab aayaa
Khayaal kis kaa samaayaa hai diidaa-o-dil me.n
na dil ko chain mujhe aur na shab ko Khvaab aayaa

Un sey jo kehnay gaye they faiz jaan sadqay kiye
An kahi hi reh gayi woh baat sab baaton ke baad

dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun
kaun doharaa_e vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun

Nazr ho khuah kitni hi haqaaiq aashna phir bhi
Hujoom-e-kashmakish mein aadmi ghabra hi jaata hai
Khilaaf-e-muslihat mein bhi samajhta hon magr nasih
Woh aatey hain tu chhray per taghayyur aa hi jaata hai

ye jo ham hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhate hai.n
kabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko dekhate hai.n

Nazr jhukaye urs-e-fitrat, jabeen sey zulfein utha rahee hai
Sehr key taza zalzaley mein, ufaq ki lau tharthara rahi hai

ye kaun aa ga_ii dil_rubaa mahakii mahakii
fizaa mahakii mahakii havaa mahakii mahakii

Yeh jannat mubarak rahey zahidon ko
Key mein aap ka saamna chahta hon
Zara sa tu dil hon magr shaukh itna
Wohi lan tarani suna chahta hon

na raastaa na ko_ii Dagar hai yahaa.N
magar sab kii qismat safar hai yahaa.N

Na samjho gey tu mit jao gey aey hindustan walon
Tumhari dastaan bhi na hogi dastanon mein

Nikalna khuld say aadam ka suntay aye hain lekin
Boht be-aabru ho kar teray koochay say hum niklay

na hogaa yak bayaabaa.N maa.Ndagii se zauq kam meraa
hubaab-e-mauj-e-raftaar hai, naqsh-e-qadam meraa
muhabbat thii chaman se, lekin ab ye bedimaaGii hai
ke mauj-e-buu-e-gul se naak me.n aataa hai dam meraa