Raha e wafa jab na mil saka koyee rafeeq
Hum sath sath apnay he siya kay chal diya
aye ishq nan lay imtihaan ab
hum ro rahay hain naam kisi ka liyae baghair
raato.n me.n gar na ashk bahaa_uu.N to kyaa karuu.N
ik pal bhii us ko bhuul na paa_uu.N to kyaa karuu.N
na shivaale na kalisaa na haram jhuuThe hai.n
bas yahii sach hai ke tum jhuuThe ho ham jhuuThe hai.n
na jaane aaj ye kis kaa Khayaal aayaa hai
Khushii kaa rang liye har malaal aayaa hai
ye dil kabhii na muhabbat me.n kaamayaab huaa
mujhe Kharaab kiyaa, aap bhii Kharaab huaa
apnay majboor aansuon kay siwa
kaun mushkil main kaam aata hay
yehi nahiN ki tamanna kahi nahiN jaati
nazar bhi unki taraf aaj kee nahiN jaati
ye keh keh kay hum dil ko behla rehay hain
wo ab chal chukay hain, wo ab aa rehay hain
na sochaa na samajhaa na siikhaa na jaanaa
mujhe aa gayaa Khud_ba_Khud dil lagaanaa
GIVE PEACE A CHANCE!
aansu meray thum jaain to phir shauq say jana
aysay main kahan jao gay, barsaat bohot hay
ye husn-e-raaz muhabbat chhupaa rahaa hai ko_ii
hai ashk aa.Nkho.n me.n aur muskuraa rhaa hai koii
yeh afsana hay apna mukhtasir sa
hamary thay magar hum un ko tarsay
Ye kahan ki dosti hai key banay hain dost naseh
koi chara saaz hota koi gham gusar hota.
(Mirza Ghalib)
Allah karay ka jahan ko mari yaad bhool jaya
Allah karay ka tum kabhi asa na kar sakoo
waqt pernay pay dosto hum nay
achay achon ko bay wafa dekha
aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
us ke baad aaye jo azaab aaye
baam-e-miinaa se maahataab utare
dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye
kiya hoo giya koyee nahi bol raha..........
just moving it forward....
yuu.N na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuu.N dekh kar ha.Ns dete hai.n
tuu mujhe bhuul gayaa ho jaise
yaade.n chalii.n Khayaal chalaa ashk-e-tar chale
lekar payaam-e-shauq ka_ii naamabar chale