Rahta tha jaab hamain behi kisi ka intazar
Tu bohat sham o sahar ka hasab rakhtay thay
Ye jannat mubaarak rahay zaahidoN ko
ke maiN aap ka saamanaa chaahataa huuN
koii dam kaa mehmaaN huuN Aey Ahal-e-mahfil
chiraag-e-Sehar huuN, bujhaa chaahataa huuN
Noon*
Na ghubaar meiN na gulaab meiN mujhey deikhna
merey dard ki aab-o-taab meiN mujhey deikhna
kisi waqt shaam-e-malaal meiN mujhey sochna
kabhi apney dil ki kitaab meiN mujhey deikhna
"alif"
isi meiN hay bhalaaii sab ki sun LooN aur na kuch boluuN
ke aksar daalti hay mujh ko mushkiL meiN zubaaN merii
khamoshii meiN bhii ho jati hay sab haalat ayaaN merii
maiN chup rehta huN keh deti haiN AankhaiN daastaaN merii
Ye*
**Ye shakhs deikho to kitna ajeeb lagta hey
zubaan khaamosh hey aaNkhoN sey baat karta hey
"ye"
YaqiN gumaan say baahar tou ho nahi sakta
nazar khayaal say aagay tou jaa nahi saktii
diloN kii ramz faqt ahl-e-dard jaantay haiN
terii samajh meiN merii baat Aa nahi saktii
Ye*
ye kis Khalish ne phir is dil me.n aashiyaanaa kiyaa
phir aaj kis ne suKhan ham se Gaayebaanaa kiyaa
Gam-e-jahaa.N ho, ruKh-e-yaar ho ke dast-e-uduu
salook jis se kiyaa hamane aashiqaanaa kiyaa
ay dost tu na aaya magar teri yaad main
ik maut thi jo aa gai wada kiyay baghair
raat ke Khvaab sunaaye.n kis ko raat ke Khvaab suhaane the
dhu.ndhale dhu.ndhale chehare the par sab jaane pahachaane the
Ye roshni ke ta'aqqub meiN bhaagta huwa din
jo thak gaya hay to ab is ko mukhtasar kar dey
maiN zindagi ki duwa maangney laga hooN bohat
jo ho sakey to duwaaoN ko be-asar kar dey
"ye"
YahaaN har Shaks haadsa honay say darta hay
Mitti kaa khilonaa hay fanaa honay say darta hay
Ye*
ye chiraaG benazar hai ye sitaaraa bezubaa.N hai
abhii tujhase milataa julataa koii duusaraa kahaa.N hai
yei mat kehna ke ap merei khabon mei ain gei
ham toh marei kushie kei so nah paein gei
Ye behi hamari khush fahmee hai lakin aarzee khush fahmee
Aap hamaray ho nahi saktay asa taham lagta hai
Ya faslay hain asy jinhain katana hai tanha
Ya jantay howay behi ka maray sath tum nahi thay
"ye"
yeah main bhe kiya hun usay bhul ker use ki rahe
keh jis kay saath nan the humsafar use ki rahe
ye shiishe ye sapne ye rishte ye dhaage
kise kyaa Khabar hai kahaa.N TuuT jaaye.N
muhabbat ke dariyaa me.n tinake vafaa ke
na jaane ye kis mo.D par Duub jaaye.N
nan janay ho giya hun is qadar hussas main kub say
kisi say baat kerta hun to ankhian bheeg jate hain
na ho gar aashanaa nahii.n hotaa
but kisii kaa Khudaa nahii.n hotaa
tum bhii us vaqt yaad aate ho
jab ko_ii aasaraa nahii.n hotaa
un say bicahur kay hum ko tamanna hay maut ki
ate nahin hay maut bhe laikin jiyae baghair