aag puurii kahaa.N bujhii hai abhii
diidaa-e-tar me.n tishnagii hai abhii
dosto.n se chukaa rahaa huu.N hisaab
dushmano.n se kahaa.N Thanii hai abhii
yah faasloN ke saraaboN se sair ho na sake..
na jaane tashnagi kitni hai mere paaooN meN
Na dilsay aah na lab say sada nakaltee hai
Magar ya baat bari door jaa nakaltee hai
ye jaan jo kaRi dhuup main jalti rahi barson
auron key liye saiy-e-dewar bani thi
yahaa.N se ab kahii.n le chal Khayaal-e-yaar mujhe
chaman me.n raas na aayegii ye bahaar mujhe
Ye kis Khalish ne phir is dil main aashiyaanaa kiyaa
phir aaj kis ne suKhan ham se Gaayebaanaa kiyaa.
aaGaaz to hotaa hai anjaam nahii.n hotaa
jab merii kahaanii me.n vo naam nahii.n hotaa
jab zulf kii kaalikh me.n ghul jaaye ko_ii rahii
bad_naam sahii lekin gum_naam nahii.n hotaa
Ik baar us ney kaha tha keh beth ja
Ham ney tamaam umr wahiN per guzaar dii.
ye bataa de mujhe zindagii
pyaar kii raah ke hamasafar
kis tarah ban gaye ajanabii
ye bataa de mujhe zindagii
phuul kyuu.N saare murjhaa gaye
kis liye bujh ga_ii chaa.Ndanii
ye bataa de mujhe zindagii
ye bhi waa hai kisi manuus kiran ki khatir
rozan-e-dar ko bhi aik deda-e bekhwab samajh
aaj ashko.n kaa taar TuuT gayaa
rishtaa-e-intazaar TuuT gayaa
yuu.N vo Thukaraa ke chal diye goyaa
ik khilaunaa thaa pyaar TuuT gayaa
Aa ke aab tasleem kar lain to nahi to main sahi
Kon manay ga keh hum main bewafa koi nahi
Ya behi rahay khiyal satanay ka sath sath
Hum behi badal rahain hain zamanay kay sath sath
haiy is char ghar kapray ki kismat ghalib
jis ki qismat main ho aashiq ka graiban hona
aataa hai kis andaaz se tuk naaz to dekho
kis dhaj se qadam pa.Dataa hai andaaz to dekho
karataa huu.N mai.n duz_diidaa nazar gar kabhii us par
nazaro.n me.n paraKh le hai nazar_baaz to dekho
vo behisaab jo pii ke kal sharaab aayaa
agarche mast thaa mai.n par mujhe hijaab aayaa
aa ki merii jaan me.n qaraar nahii.n hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahii.n hai
had e Khwahish ke hisaar say nikal aaon
Hinna ka rag teray hatom main jo khil jay
Hay janoon ka safar bohut kathan our taweel
Tu rakh day haat mere dil par keh dum nikal jay
(Azad)
yahii haalaat ibtadaa se rahe
log hamase Khafaa Khafaa se rahe
bevafaa tum kabhii na the lekin
ye bhii sach hai ki bevafaa se rahe
yun tasali day rahay hain hum dil-e-bemaar ko
jis terha thamay koi girti hoi dewar ko