Bait Bazi Part - LXVII

**
Ab waqt ke naazuk hoNton par majrooh tarannum raqsaaN hey
beydad-e-mushiyat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaey
kuch haal ke andhey saathi the kuch maazi ke aiyaar sajan
ehbaab ki chahat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gai

"ye"

yahii bahut hai ke dil us ko Dhuu.ND laayaa hai
kisii ke saath sahii vo nazar to aayaa hai

yeh Zulf Bar-dosh kon ayaa, yeh kis ki AahaT say gul khilay haiN
Mehak rahii hay Fizaa-e-Hastii Tamaam Aalam bahaaR saa hay

Ye*

**
YahaaN log bohat hi shaqqi heiN na'jaaney kya kya poocheiN ge
hum tum sey chup kar miltey heiN ye baat kisi sey mat kehna
"alif"

Ab mulaQat meiN wuh garmi-e-jazbaat kahaaN
ab tou rakhnay wuh muhabat ka bharam aatay haiN

Noon*

**
Nai subbha peh nazar hay, magr aah yeh bhi darr hay
Yeh Sehr bhi rafta rafta,kaheen sham tak na paunchay

"ye"

yuuN barasatii haiN tasawur meiN puraanii yaadaiN
jaesay barsaat meiN Rim-Jhim meiN samaaN hotaa hay

Ye*

**
Yehi qalam hey jo dukh ki rutoN meiN bakhshta hey
diloN ko pyaar ka marham, sakoon ka sandal
yehi qalam hey ke jis ki ataa sey mujh ko miley
ye chaahatoN ke shagoofey, mohabbatoN ke kaNwal

"laam"

Lab pe Aatii hay duaa ban kay tamanaa merii
zindagii shammaa kii surat ho Khudaayaa merii

Ye*

:)

**
YaadoN ke chiraagoN ko seeney meiN jalaa kar
hum dhooNdh rahey heiN wohi fursat ke zamaaney

"ye"

Ya Rab meri sochoN ko wuh Ejaz-e-aser day
maiN tuuT bhii jaoN tou meraa Naam amer ho

Wao*

yaaro kisii qaatil se kabhii pyaar na maa.Ngo
apane hii gale ke liye talavaar na maa.Ngo

vo baate.n terii vo fasaane tere
shaguftaa shaguftaa bahaane tere
bas ek zaKhm nazzaaraa hissaa meraa
bahaare.n terii aashiyaane tere

yaad nahii.n kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye
us kii galiyo.n se jab lauTe apanaa bhii ghar bhuul gaye

Ya aur baat ka insan ban kar aya hai
Magar wo shakash zameen par Khuda ka siya hai

Ye be-bassi kay Aansoo inhaiN Dil meiN mat chuhpa tu
ShaanoN say meray lag kay kyuN Ro nahiN tu detaa
Chehray pe Aa basay haiN UdaasiyoN kay mosam
Dil sey ghumoN kay dhabay kyuN dhoh nahiN tu detaa

Alif*

**
Apney anaa ke khuda ko manaaney ki khaatir
wo khafa ho gaya mujhey sataaney ki khaatir

"rey"

raah aasaan ho ga_ii hogii
jaan pahachaan ho ga_ii hogii

**
Ye adaa-e-be-niyaazi tujhey be'wafaa mubaarak
par aesi be'rukhi kya ke salaam tak na pohNchey

"ye"

yaqeen rakh k yahaN har yaqee'N maiN hai faRaib
ba'Qa kia hia yahaN fanaa ka be aitbaar na kaR

"rey"