Na-jaaney ho geya iss qadar hassaas maiN kab say
Kissi say baat karta huuN tou aankhaiN bheeg jatii haiN
Noon*
Rameesha ji she'r ka meaning Asaan Urdu meiN kaha tha :-(
Amal ji app hi bata dijjiye:-(
Na-jaaney ho geya iss qadar hassaas maiN kab say
Kissi say baat karta huuN tou aankhaiN bheeg jatii haiN
Noon*
Rameesha ji she'r ka meaning Asaan Urdu meiN kaha tha :-(
Amal ji app hi bata dijjiye:-(
Gul ye kaam to Rameesha ji hi behtar kar sakti heiN...ustaadoN ke hotey huwey hamaari kya majaal :)
"alif"
uff Amal jee ... hum bhala kahan key ustaad.. aap key saamney hamari kya uqaat ... haiN jee :)
waisey shair ka matlab jo hamari naqas samjh mein aata he to kochh yoon he keh "Umr ka ghoorha doorh raha he, ab dekhiye kahan ja key rukta he keh apney bas mein to koch naheen, yehni qismat key rehm-o-karam pe haiN"
jitna ghour kar rahi hoon is shair pe dhoonga hi hota ja raha he :(
Iss meiN Qismat ki khata hay na Zamaney ka qusoor
Ghum tou insaan kay jeeney ki sazaa hotey haiN
noon*
shukriyaa :-(
Gul ab dekhiye ^
Nah kiss pe zahm ayyaN koyi, nah kissi ko fikr rafo ki he
Nah karam he hum pe habeeb ka, nah nigah hum pe aadoo ki he
Rameesha jii Thanks once again ,i understand thora buhat (i think)
;-)![]()
Yeh daikhnay kay liyay baar baar lotatii huuN
keh kaash tu merey jaanay pay sogawaar milay
ye*
Yara moi nikammi na bilkol yeh tashreeh waghaira meiN :(
phool ka buhat thankoo, dil behal geya hamara :)
**YooN arz-o-talab sey kab aye dil, pather dil pani hotey haiN
Tum lakh raza ki khuu dalo, kab khu-e-sitamgar jati he
Hum ehl-e-qafas tanha bhi naheen, her rooz naseem-e-subh-e-watan
yadooN sey muattar aati he, ashkooN sey munawwar jati he**
yeh kia maqam-e-shoq hai, na aas hay na yaas hay
yeh kiya huwa keh Lab pe tera naam Aa ke rah geya
alif*
Ik roog he keh ruuh meiN utar geya he
ik dard he keh khaa geya he dil ko
*wasal ki raat na janay kyon israr tha inn ko janay par
waqat say phelay doub gaye taroon nay barri danaye ki
ya*
ye Ahl-e daRd heiN in ka chalaN hei sab s allag
makaN rakhtay heiN auR la'makaaN meiN rehtaY heiN
"noon"
*nind ka halqa gulabi khumar ankhoon may tha
youn laga jaisay woh shab ko dair tak soya nahi
noon*
jamura g noon nahi ye he hia
yaad wo kareN jinhiN ho dhaRka bhool janay ka
phool nahi bagbaN ka muhtaj chamaN maiN khilnaY k leaY
"ye"
*ya aik shab ki mulaqat bhi ghanimat hay
kissay hay qul ki khabar thori dour sath challo
wow*
NikamiJi :)
ma mistake
correct me
please
nahi = noon humza ya noon ghuna :(
[QUOTE]
*Originally posted by juMurA: *
NikamiJi :)
ma mistake
correct me
please
nahi = noon humza ya noon ghuna :(
[/QUOTE]
nahi=noon guna nahi ye hia.i guess but ap phir be kisi aur se pooch laina:)
vo Khvaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahiN
magar ai dil ko kyaa huaa kyoN bujh gayaa pata nahiN
ab hai "noon"
app nay bata diya bohat hay thanx
:)
nashay may chur houn may bhi tumhay bhi hosh nahi
barra maza hou agar thori dour sath challo
wow
wo mila to sadiyon kay baad bhi mairay lab pay koi gila na tha
usay mairi chup nay rula diya jisay guftagu main kamal tha
"alif"
*insaan houn adam aur ya yazdan ko khabar hay
janat meray islaf ki tukhrai hoi hay
ya*