Bait Bazi - Part LXV

yeh Mah-e-taabaaN say ja kar kahdo,keh apni kirno ko giN kay rakhe
meiN apnay sehra kay zarre zarre,ko khud chamkna sikha raha huuN

Noon*

nahiN nigaah meiN manzil to justajuu hi sahi
nahiN visaal mayassar to aarazuu hii sahi
na tan meiN Khuun faraham na ashk aNkhoN meiN
namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vazuu hii sahii

"ye"

*yad tou houn gey woh batian tujhay abb bhi lakin
shelf may rakhi hoi band kitabon ki tarhan

hay*

**
Har aek din udaas din, tamaam shab udaasiyaaN
kisi se kya bicharr gae, ke jesey kuch bacha nahi

"ye"

Yeh ghaneemat hay kay un aankhon nay pehchaana humaiN
Koi tou samjha deyar-e-ghair meiN apna humein
Wuh kay jinkay haath meiN taQdeer-e-FasL-e-gul rehi
Dey gaye sookhay huay paton ka nazrana humaiN

**
Na mila kar udaas logoN sey
tera husn bikhar na jaaey kaheeN

"noon"

*na gul khilay na un say milay na maay pi hay
ajeeb rang may abb key bahar ghuzri hay

ya*

yeh baat zarf ki hay magar kis say kijiyay
Qatra bhi aaj kuL hay samander bana huwa

alif*

*inhi pathroN pay chal kar agar ah sakoo tou aoo
meray ghar kay rastay may koi kehkashan nahi hay

ya*

**
aab nazah ka ilzaam hai mujh per tum apni mohabbat wapis lo
jab kashti doob nay lagti hai, to bojh utara karte hain

"noon"

*nashay may chour houn mey bhi tum bhi
bara mazza hou agar thori dour sath chaloo

wow*

wuh Roz-o-shab ki hakayataiN
LikhiiN thiin jo ik Kitaab par
Na-jaanay kyuuN is kitaab ka
Warq-e-Akher na likh sakaa

alif*

**
Aandhi ki tarhaN lot ke aaya hooN is leeye
ke sehra ki tarahN door kaheeN jalta raha tha meiN

"noon"

Na koi khawaab humaray na tabeeraiN haiN
hum tou paani pay banaii huwii tasweeraiN haiN

noon*

Salaam Gul :)

**
Na nazar meiN khauf hey raat ka
na fiza meiN din ka heraas hey
wohi hum'sukhan jisey dil kaheiN
wo to yuN bhi kab ka udaas hey

"ye"

Wa Alaikum Assalaam , How r u?:)

Yahan phalta nahiN koi aansoo
Yahan jalta nahiN kisi ka diya
Tera kya kaam tha yahan NASIR
Tu iss nagar main kyoon aaya

alif*

Am fine...how are you?

**
Apni kahani khatam hui, main hara, woh jeet gia
us nay tan ki raht paaie, meray man ka meet gia

"alif"

Fine by the Grace of Allah ,Thanks.

Ulfat rahey sada qaayam khwaab hi hay shaayad
rishta-e-dil pe is daur maiN eitbaaR kaun karey ga

alif*

**
Aaghaaz ka wasooq hey na anjaam par yaqeeN
aesey katey huwey heiN kisi daastaaN sey hum

"meem"

Muskura ke Mila karo Hum say
Kuch kaha, kuch suna karo Hum say
Baat karney say baat barhti hay
Roz baateiN kiya karo Hum say

ye*

sorry brb Amal...