Wuhi Sham-e-gham ka manzaR, wuhi muntazir nigahaiN
maiN azaL sey tak rahii huuN terii wapsii kii rahaiN......
Noon*
Wuhi Sham-e-gham ka manzaR, wuhi muntazir nigahaiN
maiN azaL sey tak rahii huuN terii wapsii kii rahaiN......
Noon*
torhi rah dekha kareen...our koyi kaam naheen he kya :p
Nigah-e-shouq mera mudda to unko samjha dey
mery munh sey to harf-e-aarzoo mushkil sey nikley ga
Rameesha Jii Theekh aainda say aap kii Raah nahiN dekkhtay sniff
Uljain gay kai baar abhii LafZ say Mafhoom
Saada hay buhat wuh na,meiN asaan buhat huuN
Noon*
oOops
W-salamz Rameesha
sarri ghar baar ho gaye thi :)
*na gunwaO nawak-e-neem kash dil-e-raiza raiza gunwa diya
jo bachay hain sang samait lou tan-e-dagh dagh luta diya
alif*
kya hamari rah ..aaa
.. phir theek he dekhti raha kareeN:D
^lo gi kam pora ho geya hunh tey, alif nooN toondhaaN ![]()
Us qoum ko shamsheer ki hajat naheen rehti
ho jis key jawanooN ki khudi sorat-e-foulad
*Dar-e-qufs pa andharay ki muhar lagti hay
tou faiz dil main sitaray utarnay lagtay haian
noon*
nahiN hai koi bhi manzil ager meri manzil
to phiR ye paa'ooN tale raste kahan ke haiN
*na abb raqeeb na nasiH na ghum ghsar koi
tum ashana thay tou thain ashnayan kya kya
alif*
"ye"
Ye Jaantay Hain Kay Tairii Fitrat Wafa Say Naa-Aashnaa Hay Phir Bhii
Teri Taraf Say Laga'ey Rehtay HaiN Apnay DiL Ko TasaliyoN MeiN
Kabhi Kabhi Tou MuhabtoN Kay Yaqiin Lehjay MeiN Guftagu Ho
Kahiin tou Mera Bhi Naam Aaay Terii wafaa Kii KahaniyoN MeiN
Noon*
"noon"
Naaz-o- Andaaz-o- Adaa HontoN peh HaLki si Hansi
Teri TasweeR meiN Sab kuch hay TakaLum Tou nahiN
Noon*
"noon"
Naqsh-e-Pa Hotay Hue Sehra meiN hum kyuuN khoh Gaey
Hum-safar Thay Ajnabii, Raastay tou Anjaanay na thay
Ye*
"noon"
Salam Amal
Niggah-o dil ko qarar kaesa, Nishaat-o ghum meiN kami kahaN ki
Wuh jab millay heiN tou unsey har baar ki hay uLfat naye sirray say
ye*
Wa Alykum Assalaam :)
"ye"
Yeh mehrumi nahiN paass-e-wafa hay
koii teray siiwaa dekhaa naa jaayey
ye*
Amal ji aap ka avatar kahaN geya ?:)
wo accidently mujh sey delete ho gaya :(
"alif"