Bait Bazi - Part LXV

aa chaaNdanii bhii merii tarah jaag rahii hai
palakon pe sitaaroN ko liye raat khaRii hai

Yaad Aaii hay teri aur bhi shidat say humaiN
BhooL jaaney ka tujhay jab bhi irada kiyaa

alif*

**
Aati hey yaad aksar, rotey heiN be'basi meiN
ik be'wafa ko hum ney, chaha tha zindagi meiN

"noon"

na hum tum ko pukaraiN gay, na hum tumko bolaaiN gay
khuLus-e-jazba-e-diL kaam aaey tou Aa jaanaa

alif*

**
Us sey miley to zam-e-takalum ke ba'wajood
jo soch kar gaey they wohi aksar nahi kaha

"alif"

Ab tou miL kay chalte haiN samandar ki musaaftoN maiN
phir is kay baa'd dekhaiN gay kinara kon karta hay
ghataaiN kon Lata hay meri AankoN kay mosam maiN
phir is kay baa'd baarish ka nazara kon karta hay

ye*

**
Ye kis dhun meiN hum tum safar ka aaghaaz kar beitthey
tumheiN aaNkheiN nahi milteeN hameiN chehra nahi milta

"alif"

Aarzoo Ka Chand Dooba, Ghum Ki Gehri JheeL MaiN
Dard Ki Waadi MaiN Hum, Aay Dost Tanha Rah Gaey

ye*

off for a while

**
ye tabassum, ye taazgi, ye nikhaar
zindagi kis sey baat kar ke aai hey

"ye"

yunhi mosam ki ada dekh kay yaad Aaya hay
kis Qadar jald badal jaatay haiN insaaN janaaN

Noon*

na sawal-e-ghum,na arz-e-ghum,na hakayatian na shakayatain
teray ehad may dil-e-zaar kay sabhi aikhtayar challay gaye
ya

a beautiful ghazal by Faiz :k:

ye hamiiN thay jin kay Libaas par saR-e-Raah siyaahii Likhi gai
yahii daaG thay jo sajaa kay hum sar-e-bazm-e-yaaR chale gae

Ye*

Ya teri galli keh shehar adu
jidhar bhi gaye sir utha kar gaye
ya

yeh ghalat kaha kisii nay humain GuL kii Arzoo hay
jo kabhii chubhaa tha diL meiN wuhi khaar dhuhndate haiN

noon*

Assalam-o-alaikum

maiN aaooN to sab ghaib, jaooN to peechhey sey mehfil urooj pe sigh

NadaaN ho jo kehtey ho keh "kyooN jeetey haiN Ghalib"
Qismat meiN he marney ki tamanna koyi din our

Thankooo Sista.. ab zara apney repley ko edit ker key is mein "ye" sey shair irshad kareen:), main to ukta gayi hoon is her waqt ki "ye, ye" sey:(

:)

raqs-e-maa taiz karo, saz ki laay taiz karo
suway maaKhana safiran-e-haram attay hain
ya

wa alaikum assalaam Rameesha sis

*EDIT *

“ye” :frusty: …pleez logoo is “ye” ki ab jaan chhorh do, koshish kareeN key ab end meiN “alif our ye” nah aaye

hum nay tou nahiN Likha jis kay end pe ye* aya ho:-P

juMurA inhoN nay likha hay Last she'r

well i m writing this now

ye jannaT mubarak rahe zaahidoN ko
ki maiN aap ka samana chahta huuN
bharii bazM meiN raaZ ki baat kah dii
baraa be-adab huuN saza chahta huuN

Noon*

nah lutta din ko to kab raat jo yooN bekhabar sota
raha khatka nah chori ka duaa deta hooN rahzan ko