Ae Dost Jhoot Aam tha Duniya meiN iss QadaR
Tunay bhii Such kaha tou Fasana Laga Mujhay
Ab Ussko Kho Raha huuN Baray IshteyaaQ say
wuh Jis ko Dhundanay meiN Zamana Laga mujhay
Ye
Ae Dost Jhoot Aam tha Duniya meiN iss QadaR
Tunay bhii Such kaha tou Fasana Laga Mujhay
Ab Ussko Kho Raha huuN Baray IshteyaaQ say
wuh Jis ko Dhundanay meiN Zamana Laga mujhay
Ye
Amal jee yeh “hey” he, fasana hey sey hota he ![]()
^**Gul sisi ** ![]()
Yaroo mujee masloob karo tum keh mery baad
shayed keh tumhara qad-o-qamat nikal aaye
awww Rameesha sis Ghalti InsaaN say hi Hoti haiN :p
ye tumhari taLkH NawaiyaN koi aur sah kay dikhaa tou day
ye jo mujh maiN tum maiN nibah hay meray hausLay ka kamaL hay
Ye*
Thanx for the correction Rameesha ji
"alif"
Andaz-e-BayaaN Garchey Buhat Shokh NahiN Ghalib
Shayad!!...Kay Teray DiL MeiN UttaR Jaey Meri Baat
"rey"
^
Beautiful Ghazal :)
Raat YuuN DiL MeiN Teri Khoi Hui Yaad Aaii
Jaesay Weeranay MeiN Chupkay Say BahaR Aa Jaey
Jaesay SehraoN MeiN HoLay Say ChaLay Baad-e Naseem
Jaesay BeemaaR Ko Be-wajah QaraR Aa Jaey
ye
[QUOTE]
*Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *
awww Rameesha sis Ghalti InsaaN say hi Hoti haiN :P
[/QUOTE]
hum ney kochh kaha :D
jee Gul sisi Ghalati insaan hi say hoti he :p
Amal jee :)
:)
"ye"
Yeh to waqt key bas meiN he keh kitni muhlat dey
warna bakht dhalney meiN dair kitni lagti he sigh
soch ki zameenooN per rastey juda hooN to
door ja nikalney meiN dair kitni lagti he
Yeh Zindagi hay keh BaaRisH hay sanG-RaizoN ki
MaiN toot phoot giaa Iss maiN mubtaLa ho kar
Re*
Rameesha Jii Sniff*
"ye"
yuuN sajaa chaaNd ki jhalakaa tere andaaz kaa rang
yuuN fazaa mahakii ki badalaa mere hamaraaz kaa rang
Gul teraa Rang churaa Laaye haiN GuL-zaaroN meiN
jaL rahaa huuN bharii barasaat kii bauchaaroN meiN
Noon*
"noon"
NahiN Sajday kiye hum nay kabhi ShahoN ki Chokhat par
HumaiN jitni Zaroorat ho Khuda say Maang Letay haiN
Noon*
"daal"
^ Salaam ,
dayaar-e-diL kii Raat meiN charaaG saa jalaa geya
miLa nahiN tou kyaa hua wuh shaQL tou dikha geya
alif*
Wa Alykum Assalaam :)
"alif"