Bait Bazi - Part LXV

yeh kaesa daur aya Aadmiyat utheti jaati hay
ke insaan bhi shareek-e-dard-e-insaan ho nahiN sakta

alif

aik chanaka sa munawaR kaanch k ghaR maiN huwa
kirchiaN maiN khawab ki palkoN se chunta rah gaya

**
Agerchey ahl-e-wafaa heiN khaloos ke bhookey
magar khaloos nahiN shart dosti ke leeye
ye nuktah sikhaaya hey hum ko ahd-e-haazir ney
munaafiqat bhi zaroori hey aadmi ke leeye

"ye"

Yeh diL kay dagh tou dukh'tay thay yuuN bhi par kam kam
Kuch abb kay AuR hay hijraaN-e- yaar ka mausam

meem

meraY siwa koi itna udaas be tu na tha
khizaaN k chand ko acha laga meRa chahRa
kitaab khool raha tha wo apnaY maazi ki
waraq waraq peR bikharta gaya meRa chahRa

apney guzrey huwe haaLaat pe hans detay heiN
beetey maazi kay sawaalaat pe hans detey heiN
hum ko maazi nay rulayaa hay, buhat dard diye
aesey ghamgeeN KhayaaLaat pe hans detey heiN

noon*


na janaY kis zakham ki nisbat se mujhay dekhta hai
wo gazaal aaj be wahshat se mujhaY dekhta hai
meraY chahraY pe kisi auR ka chahRa tu nahiN
na janaY wo kis ree'ayat se mujhaY dekhta hai

Yeh wafaa ki sakhat rahaiN yeh tumharay pa'ye nazuk
Na Lo inteQaam mujh say meray sath sath chaL kaR

Re*

ret par likh ke meraa naam miTaayaa na karo
aaNkheN sach boltii haiN pyaar chupaayaa na karo

Wuh jo aag thii ghum-e-hijr ki meray jism ko jalaa gaii
ke hazaaR baaR jalaa huuN maiN, kabhi aik baaR jalay tou wuh

he*

-he sey mera fav. qita ....

**Hum charagh-e-shab hi jab thehrey to phir kya sochna
Raat thi kiss ka muqaddar our sehar dekhey ga koon

Her koyi apni hawa meiN mast phirta he Faraz
shehr-e-napursaaN meiN teri chashm-e-tar dekhey ga koon**

*na ho dil may jurat tou mohabat nahi milti
khairat may itni bari doulat nahi milti
kuch loog younhi shehar may khafa say haian
apni bhi har aik say tabayat nahi milti

ya*

Yaar ki nagri kosooN door
kaisey katey gi bhaari raat

**
Tujhey kya khabar merey hamsafar hey bisaat-e-jaaN dukhi kis qadar
dard hey bohat par hey be-nishaaN tujhey zakhm apney dikhaaoN kya
meiN maraa nahi to jia bhi kya ke terey baad haal hey ajeeb sa
koi dekhey to us sey chupaaoN kya koi poochey to us ko bataaoN kya

"alif"

aik safaR ne paaoN bandhaY aik safaR se khol kaR
un k neechay likh dya hia umeR bhaR passpaa'eyaN

**
Na poocho mujh sey lazzat khaanma barbaad rehney ki
nasheman seiNkrro meiN ney bana ke phooNk daaley heiN

"noon"

na shinasa jis ki dewariaN haian,dar bhi ajnabi
woh milla hamisha aik naye ghar ki tarahan

Khusn ka gunj-e-garaN-maya tujhey mil jata
Tu ney Farhad nah khhoda kabhi werana-e-dil

Lab pe paabandii nahiN ehsaas pe pahraa tou hay
phir bhii ahaL-e-diL ko ahwaal-e-bashar kahnaa tou hay
bujh rahey haiN ek ek kar kay aqiidoN kay diyey
is andherey ka bhii Lekin saamana karna tou hay

ye*

** Ye khuley khuley sey geisu ye urri urri si rangat teri subh keh rahi hey teri raat ka fasaana

“alif” or “hey” ?