ye jannaT mubaarak rahay zaahidoN ko
ke maiN aap ka saamanaa chahtaa huuN
koi dam ka mehmaaN huuN aey ahaL-e-mahfiL
chiraaG-e-sehaR huuN, bujha chahtaa huuN
Noon*
ye jannaT mubaarak rahay zaahidoN ko
ke maiN aap ka saamanaa chahtaa huuN
koi dam ka mehmaaN huuN aey ahaL-e-mahfiL
chiraaG-e-sehaR huuN, bujha chahtaa huuN
Noon*
na itnaa toot k miliay k dil shaak guzRay
khalos maiN bhe zaRori hai faasala rakhNa
"alif"
ajab waa'iz kii deeN-daarii hay Ya-Rab
adaawat hay isay saaray jahaaN say
hum apnii dard-mandii ka fasaanaa
suna kartay haiN apnay RaazdaaN say
ye*
"alif"
Ijazat ho to keh doon qissaa-e-ulfat sar-e-mehfil
Mujhe kuch to fasana yaad hai kuch tum suna dena
"Alif"
"meem"
mujhay tumhaari judaai kaa koii ranj nahiN
meray Khayaal ki duniya meiN meray paas ho tum
ye tum nay Theek kaha hay tumhaiN mila na karuN
magaR mujhay bata do keh kyuN udaas ho tum
Meem*
"alif"
Apnay zakhmon ko zamany say chupa kar rona !!!
Meri aadat hai diay ghar kay bujha kar rona !!!
"Alif"
aainah dil khud hie tornah para hamein
rukh us sei akhier morna para hamein
Intha mohabat kie keya ham batein dosto
usie kie khatir usko chorna para hamein
Na jao haaL-e- diL-e- ZaaR dekhtay jao
keh jii na chahay tou Na-chaaR dekhtay jao
wao*
Wafa woh shaksh mere saath bhi na karpaya
Bicharte wakt mulakat bhi na karpaya
Sitaray tor ke lana to gher mumkin tha
Woh mere haq mein koi baat bhi na karpaya
"Alif"
ab sai-e-talafi La-hasiL ab koshish-e-damaaN bay-ma'nni
jo dard muQadar ban jaey wuh dard kahan kam hota hay
Ye*
Yeh zindagi bahut mukhtasir hai, khayal kar lay
Taa'luq jo tu ne tora hai, bahaal kar lay
Nam aankhain liye ghar se na nikla kar
Kahen aisa na ho tujh se koi, sawaal kar lay
"Ye"
"alif"
ik Roz wuh Aa jaaiN gay yeh diL ko yaQeen hay
TaseeR meiN dhaL jaaey gii ik Roz Duaa bhii
ye*
"ye"
Yeh Hum hi Jantay haiN Judaai kay IS moR Par
Iss diL ka jo bhi haaL Tujhay dekh kar huwaa
Alif*
"noon"
Nagar Nagar meiN hay charcha tumharey barey meiN
chaman meiN Gul bhi hay gata tumharey barey meiN
Noon*