Bait Bazi - Part LXV

Yeh jo ZindagaNi ka khail hay,Ghum-o-Insebaat ka maiL hay
Ussay QadaR kya ho BahaaR ki! Kabhii dekhii Jis nay KhizaaN nahiN

Noon*

na jane dubne wala kya keh gaya hai moujouN se
ke moujeiN ajj tak saR phooRti phiRti hain sahil se

"ye"

**
Na pooch kiuN meri aaNkhoN meiN aa gaey aaNsu
jo terey dil meiN hey us baat par nahi aaey

"ye"

yahaN wabastagi, wahan barhami,kya jaaniye kyoN hay
Na hum apni nazar samjay na hum unki adaa samjhay

Ye*

**
Ye jo hum rotey heiN chup chup kar kabhi tanhaai meiN
rafta rafta tujhey aaNkhoN sey nikaal aatey heiN

"noon"

nasib azamanay ke din aa rahe hain
qareeb un ke anay ke din aa rahe hain
"noon"

**
Nahi ab to koi malaal bhi kisi waapsi ka khaayaal bhi
gham-e-be'kasi ney mitta dia merey dil meiN tha bhi agar koi

"ye"

yeh bhii mumkiN hay ik diN wuh pash-e-maaN ho kaR
teraY paas aey Zamaanay say kinaRaa kar kay

ye*

**
YaadeiN bhi heiN, umeed bhi hey, be'basi bhi hey
aey dost kya nahi hey hamaari nigaah meiN

"noon"

*
Na koii Aah Na Faryaad Na Lab paR NaaLay
Dard-e-HijraaN ko Naii Tarz seekhaa dii maiN nay

Ye*

**
Ye wafaa ke sakht raaheiN ye tumhaarey paaey naazuk
na lo intiqaam mujh sey merey saath saath chal ke

"ye"

ye tou muhabatoN ki maang thi jo tujhay zindagi ka Laqab diya
is soday kay iwaz sanam maiN nay kab maaNga thaa samar koi

ye*

**
Ye marhaley bhi mohabbat ke baab mein aaey
khaloos chaaha to patthar jawaab meiN aaey

"ye"

Yeh Afsaana-e-Muhabbat, yeh wafaa ki DaastaanaiN
koii aur ZikR chairo meraa DiL Lahu Lahu hay

Ye*

**
Ye jo mehboob bana hey teri tanhaai ka
ye to mehmaan hey gharri bhar meiN chala jaey ga

"alif"

aik moR pay hum ajnabi ban kay bhi milaiN gay
ye baat tou maloom thii Aaghaz-e-Safar say

ye*

Ya Rab mujee is karb-e-musallisal sey rehaa ker
masjood-e-ma'alaik hooN, to kyooN khaak basar hooN

nazar Ke saamnaY ab-e rawaaN Ke hotaY hovaY
Ju Ahl-e sabar heiN tashna LabbaaN rehtay heiN

**
Naam ab bhi tera lab pe machal jaata hey
dil tujhey bhool ke bhi kitna yaad rakhta hey

"ye"

YAAD KAY BAY NISHAN JAZERON SEY
TERI AWAZ AA RAHI HAY ABHI