Bait Bazi - Part LXV

**
Na ye gham naya na sitam naya ke teri jafa ka gila kareiN
ye nazar thi pheley bhi muztarb, ye kasak to dil meiN kabhu ki hey

"ye"

Yeh tou Zarf ki baat hay keh koi sametay rakhta hay kitna
Keh jitnay dukh miltay haiN, Itnay daamaN kushaada nahiN hotay
JO khud paR jheeL Chukay hoN kaRb Tuttay howay diL ka
Wuh kissi kaa diL dukhaanay paR, Amaada nahiN hotay

ye*

ye merey hi zarf ka kamaal tha ke terey har sitam ko sahaa magar
na to lab pe koi gila hi tha na dil hi tujh sey bura huwa

"alif"

Apnay hontoN pay sajanaa chahtaa huuN
Aa tujhay meiN gungunana chahtaa huuN
Thak geya maiN kartay kartay yaad tujhko
Ab tujhay maiN yaad Aana chahtaa huuN

Noon*

**
NahiN nighaah meiN manzil to justuju hi sahi
nahi wisaal moyassar to aarzu hi sahi

"ye"

Yehi maQsud-e-fitrat hay, yehi Ramz-e-musalmani
Ukhuwat ki jahaaN-Geeri, Muhabbat ki faraawani

Ye*

**
Ye jafaa-e-gham ka chaara, wo nijaat-e-dil ka aalam
tera husn dast-e-Eesa, teri yaad ro-e-Maryam
teri deed sey siwa hey terey shaoq meiN bahaaraN
wo chaman jahaaN giri hey terey gesuooN ki shabnam

"meem"

mereY hosleY bhi thak gaey ke meri rah-guzar sey bani nahi
jab raastey hoN na-meharbaaN to kya kareY phiR safaR koi
do chaar saaNseiN aaj bhi merey paas heiN tu bhi paas aa
teri nigaahoN ki talkhiyoN meiN gar bach gayaa hey zehar koi

"ye"


ye husn-e-raaz muhabbat chhupaa rahaa hai koii
hai ashk aa.Nkho.n me.n aur muskuraa rhaa hai koii

nazar nazar me.n tajallii dikhaa rahaa hai koii
nafaz nafaz pe mujhe yaad aa rahaa hai koii

"ye" again i think!

yeh kassay faislay hotay hain uper
jo neechay ahed saray toottay hain
kushi ke moor par he kion yeh akhir
hamaray khwab saray tootatay hain


nigaahe.n jhuk ga_iii.n jab Khud_pasandii
barahanaa barasar-e-darbaar nikalii
bhalaa hotaa hai kyaa kahane se 'Haqi'
chalo kuchh Khvaahish-e-izhaar nikalii

"ye"

ye kyaa ke chand he qadmoN pe thak ke baiTh gaye
tumheN to saath mera duur tak nibhaanaa thaa
mujhe jo mere lahuu meiN Dubo ke guzaraa hai
vo koi Gair nahiN DOST ek puraanaa thaa

"allif"

AAnso ko kabhi Oos ka qatra na samjana
assa tumen chahat ka samandar nahi milay gaa

**
Abhi hey zara wo asar jisey meri zaat ney pooja kabhi magar
wo janooN to kab ka khatm huwa, wo soorat to dil sey utar gai

"ye"

ya Khuda! ab ke yeh kis rang mein aayi hai bahaaR
zard hi zard hain peRoon pay hara kuch bhi nahiN
dil bhi ik zid pay ada hai kisi bacche ki tarah
ya to sab kuch hi isay chahiye ya kuch bhi nahiN

"noon"

Nigaah-e- Mard-e- Momin say badaL jaati haiN taQdeeraiN
Jo ho ZouQ-e- yakeeN paedaa tou kaT jatii haiN zanjeeraiN

Noon*

closed