Bait Bazi - Part LXV

ishQ hay eik aag ka dariya magar maiN
doob kar us paar jana chahta huuN
dekhna chahti hay wuh bhi eik charaaghaN
aur maiN bhii diL jalana chahtaa huuN

Noon*

**
Na ab wo yaadoN ka charrhta darya na fursatoN ki udaas barkha
yuN hi zara si kasak hey dil meiN, jo zakhm gehra tha bhar gaya wo

"he'

Haath chuuTay bhii tou rishtay nahiN choRa kartay
waQt ki shaaKh say Lamhey nahiN toRa kartay

Ye*

yuN chup rahna Thiik nahiN koi miiThi baat karo
mor chakor papihaa ** koyal **sab ko maat karo

wuh eik mulaQaat meiN haeRaan kar geya
wuh bazm say geya aur weeRaan kar geya

Alif*

**
Aaj deikha hey us ko deir ke baad
aaj ka din guzar na jaaey kaheeN

"noon"

na gharaz kissee sey naa waastaa Mujhey kaam apne kaam se
tere Zikr sey Teri Fikr sey Teri Yaad sey, Tere Naam se
teri Subh-o-Aish hai Kya Balaa Tujhey Ay Falak jo Ho Hauslaa
kabhi karle aakey mukablaa Gham-e-Hijr-e-Yaar Ki Shaam se

.

Ye alag baat hay kay taa'ruf na ho saka
Warna hum zindagi kay saath bohat duuR tak chalay

ye*

**
Ye fakhr to haasil hey, burey heiN ke bhaley heiN
do chaar qadam hum bhi terey saath chaley heiN

"noon"

na jii bhaR kay dekhaa na kuch baat ki
baRii Aarzu thii mulaaQaat kii

ye*

**
Ye aarzu thi tujhey gul ke ru'baru kartey
hum aur bulbul be'taab guftugu kartey

"ye"

ye na thi hamari Qismat kay wisaL-e-yaar hota
gar aur jetay rahtay yehi intezaaR hotaa

Alif*

**
Aey khushi gham ki kasoti pe parakh looN tujh ko
aey wafaa aa, tujhey mayaar bana leta hooN

"noon"

Na haara hay ishQ na duniyaa thakii hay
diyaa jal rahaa hay hawaa chaL rahii hay
sukuN hii sukuN hay Khushii hii Khushii hay
teraa Ghum saLamat mujhay kya kami hay

ye*

**
YaqeeN aaney ko to aa jaey terey ehd-o-peimaaN ka
teri aaNkh aey but waada shikan kuch aur kehti hey

"ye"

yeh jo do gharri kabhii hum kahiN, jo guzaaR Letay haiN ku-ba-ku
yehii do gharri ki hay guftagu, koi gufatagu ka jawaaz hay.

ye*

**
Ye bisaat-e-aarzu hey is ko yuN aasaan na jaan
tujh sey waabasta bohat kuch daao par mera bhi hey

"ye"

ye soch kar ki terii jabeeN par na bal pareY
bas duur hii se dekh liyaa aur chal paReY

**
YaadoN ki anjuman meiN khuwaaboN ke darmiyaaN
deikha jo tujhey hum ney to bas deikhtey rahey

"ye"