ye eik shab kii mulaaqaat bhii Ganeemat hay
kisay hay kaL ki KhabaR thorii duuR saath chalo
wao*
ye eik shab kii mulaaqaat bhii Ganeemat hay
kisay hay kaL ki KhabaR thorii duuR saath chalo
wao*
"alif"
ik Ghazal Uss pe likhuuN diL ka taQaza hay buhat
in dinoN Khud say bichaR jaanay ka dharka hay buhat
Raat ho din ho ghaflat ho khwah bedaari ho
ussko dekha tou nahiN hay ussay socha hay buhat
Te*
"noon"
NaGma-e-nau-bahaaR agar meray naseeb meiN na ho
is dam-e- neem soz ko taairaak-e-bahaar kaR
ishQ bhii ho hijaab meiN husn bhii ho hijaab meiN
ya tu Khud aashakar ho ya mujhko aashakar kaR
Re*
"noon"
Na jis kii shakL hay koi na jis ka Naam hay koi
ik aesii sha'y ka kyoN hamaiN azaL say intezaaR hay
ye*
"he"
hum un kii tasweeR diL meiN chuhpaaey baeThe haiN
WeeraaN zindagii meiN ek Gul khilaaey baiThe haiN
Noon*
"noon"
Niyat-e-shauq bhaR na jaaey kahiN
tu bhii diL say utaR na jaaey kahiN
Na mila kar Udaas logoN say
HusN Teraa Bikhar na jaaey kahiN
Noon*
"alif"
Umeed tou bandh jaati taskeeN tou ho jaatii
wadaa na wafaa kartay wadaa tou kiya hota
Alif*
"ye"
ye nahiN ke dab gai hay kaheeN gard-e-roz-o-shab meiN
wuh khalish muhabtoN ki, wuh kasak rafaaqtoN ki
Ye*
"alif"
Eik wisaL ki baarish say wuh saaray shikway dhoh day ga
yaani meray saath LipaT ke kuch na kahay ga, Ro day ga
Alif*
"te"
[QUOTE]
*Originally posted by Amal: *
"te"
[/QUOTE]
Tu jo badla tu badal gaye hum bhi
Mohabbet ki thee, bandagii tu nahi
Wakt kut jaye ga bahr-surat
Tu koi shart-e-zindagi tu nahi
Tum Hamare kissi Tarah Naa Huwe
Warna Duniya Main Kya Nahi Hota!
"Alif"