yeh majboori si majboori yeh Laachari si Laachari
keh uss kay Geet bhi khuL kar maiN gaa nahiN sakta
zubaaN par bekhudi meiN Naam uss ka Aa hi jata hay
agar puchhay koi yeh kon hay batalaa nahiN saktaa
Alif*
yeh majboori si majboori yeh Laachari si Laachari
keh uss kay Geet bhi khuL kar maiN gaa nahiN sakta
zubaaN par bekhudi meiN Naam uss ka Aa hi jata hay
agar puchhay koi yeh kon hay batalaa nahiN saktaa
Alif*
"he"
Hum nay maana keh tuM TaghafaL na karo gay Lekin
khaak ho jaaiN gay hum tum ko khabaR honay tak
Kaaf*
"ye"
YadoN ko laga kar seenay se taqdeer jagaya kartay haiN
hum teray khayaloN sey teri tasweer banaya kartay haiN
Noon*
"wao"
WisaaL-e-yaaR kay Lamhay haiN sub'h honay tak
FiraaQ-e-yaaR ka dhaRka magar hay kya kijiyay
ye*
"ye"
Ye zara hi pehley ki baat hay ke kisi kay diL ki duwa tha maiN
nau-khaiz bahaaR ki jawaaniyoN meiN kisi ko aziz huwa tha maiN
meray hasooL ki inteha ke mujhay man'natoN meiN maaNga geya
ik diL-rubaa kay rat-jagoN ki riyaazaoN ka sila tha maiN
Noon*
"ye"
Yehi duaa hay meri tujh say meray Rab-e-Azeem
geyaa hay ab jo musaafir tou Laut aaey kabhii
ye*
"noon"
na koi waadaa na koi yaqeeN na koi umeed
magar hamaiN tou teraa intezaaR karna tha
Alif*
"ye"
yeh DiL ki Raah meiN Urrta ghubaar kis ka hay
wuh Ja chukaa hay tou phir intezaar kis ka hay
nahin wuh apna magar iss ki Raah bhii dekhuuN
DiL-o-NazaR pe bhala ikhteyaar kis ka hay
ye*
"ye"
Yehi nahiN keh faQat maiN hi chakna chooR huwa
Ussay bhii Thais Lagii thii bikhaR geya wuh bhii
ye*
"ye"
yehi DiL tha keh Tarasta tha marasim kay liyay
ab yehi Tark-e-ta’luQ kay bahaanay maangay
again ye* :-(
"ye"