ye Khaaaab hi tou apnii jawaani kay paas thay
ye Khawaab hi tou apnii amal ki asaas thay
ye Khawaab mar gaey haiN tou be-rang hay hayaat
yuuN hay ke jaesey dast-e-tah-e-sang hay hayaat
Te*
ye Khaaaab hi tou apnii jawaani kay paas thay
ye Khawaab hi tou apnii amal ki asaas thay
ye Khawaab mar gaey haiN tou be-rang hay hayaat
yuuN hay ke jaesey dast-e-tah-e-sang hay hayaat
Te*
tum naGmaa-e-maah ho anjum ho tum soz-e-tamannaa kyaa jaano
tum dard-e-muhabbat kyaa samjho tum dil kaa taRapnaa kyaa jaano
wuhi be-kali ,wuhi be-basi, wuhi bandishaiN wuhi chahataiN
maiN abhi talak na samajh saka tu Naseeb hay ke Nisaab hay
Ye*
ye kiskaa tasavvur hai ye kiskaa fasaanaa hai
jo ashk hai aaNkhon meiN tasbiih kaa daanaa hai
phir “ye” ![]()
ye Tabiyat hay tou Khud azaaR ban jaaiN gay hum
chara-gar roaiN gay aur Ghum-Khawaar ban jaaiN gay hum
Meem*
mili hayat magaR zindghi ko pa na sakaY
hamaRay naaz hamaraY naseeb utha na sakaY
"ye"
ye kah kay chehratii hay hamaiN diL-giraftagii
ghabaraa gaey haiN aap tou bahar hii Lay chalaiN
Noon*
na Khauf-e-barq na Khauf-e-sharar lage hai mujhe
Khud apane baaG ke phuuloN se Dar lage hai mujhe
"ye"
YaQeeN na aaey tou ik Baar PuucH kar dekho
jo hans rahaa hay wuh zakhmoN say chuuR niklay ga
Alif*
ab iraadoN pe bharosaa hai na taubaa pe yakiN
mujh ko le jaaye kahaa.N tashna_labi sham ke baad
"dal"
dasht-e-tanhaai meiN Ae jaan-e-jahaaN LarzaaN haiN
terii awaaz kay saaye teray honThoN kay saraab
dasht-e-tanhaai meiN duurii ke Khas-o-Khaak talay
khil rahay haiN teray pahluu kay saman aur gulaab
Be*
bahut hasiN hai meraa dil_rubaa na ho jaaye
merii nazar meiN vo kaafir Khudaa na ho jaaye
tamaam shahar meiN merii vafaa kii Khushbu hai
puraanaa zaKhm kisii kaa haraa na ho jaaye
"ye"
ye EhwaaL rakhnay haiN, issi HaaLaT meiN rehna hay
yeh hum nay Taey kiya hay ab, issi wehshaT meiN rehna hay
koi mausam ho koi Rut ho, Tumhaaray Qurb ki hum ko
kabhi khawahish meiN rehna hay kabhi hasrat meiN rehna hay
ye*
yuuN to har lamhaa terii yaad kaa bojhal guzRaa
dil ko mahasuus hu_ii terii kamii shaam ke baad
"dal"
Dastak ki umeed lagaye kab tak Qaisar jeetey hum
Kal ka wa'ada karney waley milney aaye barsooN baad
divaar-o-dar se utar ke parachhaa_iyaaN bolati haiN
ko_ii nahiN bolataa jab tanahaa_iyaaN bolatii haiN
"noon"
Assalam-o-Alaikum
nazar aatey hain do do aks apney
shikasta aaena jorda tou jaana
buhat dushwaariyan hain raaston mein
kisi ney raah mein saath chorda tou jaana
"wao"