Bait Bazi - Part LXV

guys you continue, I join you back a little later :)

Rameesha ji ye meri taraf sey aap ki nazar...lekin no smoking please...buri baat ;)

**

Mosam tha be'qaraar, tumhey sochtey rahey
kal raat baar baar tumhey sochtey rahey
baarish hui to ghar ke dareechey se lag ke hum
chup chaap baar baar tumhey sochtey rahey :)

"ye"

hamarey liye he .. chaloo aisa bhi theek he ..phool nah pather hi sahi .. thanko :flower2:
gila kar lain dil mein mat rakheen :slight_smile:

[QUOTE]
*Originally posted by Amal: *


Rameesha ji ye meri taraf sey aap ki nazar...lekin no smoking please...buri baat ;)

**

Mosam tha be'qaraar, tumhey sochtey rahey
kal raat baar baar tumhey sochtey rahey
baarish hui to ghar ke dareechey se lag ke hum
chup chaap, soghwaar tumhey sochtey rahey :)

"ye"
[/QUOTE]

dil key behlaney ko Ghalib yeh kheyal achha he :(

Khair Pathar tou nahiN thay :frowning:

yeh Khuda ki daiN ajeeb hay ke isska naam naseeb hay
jisay tunay chaha miL geya, jisay meiN nay chaha miLa nahiN

Noon*

:flower2: for U Siso :slight_smile:

Nahjaney kyooN muj sey rooth geya woh kamfehm Nadeem!
keh main to mukhlis tha kissi maaN ki duaa ki tarah

Thanks Rameesha sis :flower1:

HimaT-e- iLtijaa nahiN baaqii
zabt ka hausaLa nahiN baaqii
ik terii deed chhin gai mujh say
warna duniya meiN kya nahiN baaqii

ye*

**
Ye aarzu thi tujhey Gul ke ru'baru kartey
hum aur bulbul be'taab guftugu kartey

"ye"

youn na mil mugh se khafa ho jeise
saath chal moj-e saba ho jeise

**
yeh kis maqaam pay soojhi tujhay bicharrney ki
ke ab to ja ke kahiN din saNwarney waley they

"ye"

yaad kia aiey k roshaN ho agye ansoo k ghaR
jungloN maiN shaam utRi jal uthaY jugno k ghaR
raat ki rani ka anchal thaam k chalti hooN maiN
aj ki shab zingghi mahmaaN huwi khshboo k ghaR

**Raat sey jii he soghwaar buhat
yaad aawo nah aaj yaar buhat

Dekh leeN merbaniyaaN teri
Zindgi ban nah ghumgusaar buhat**

Tu SafaR hay tou merii saari Umr SafaR meiN kaTay
Tu SabaR hay tou kisi Roz merii SazaaoN meiN utaR

Re*

raushan kahiN bahaar ke imkaaN huye to haiN
gulashan meiN chaak chand garebaN huye to haiN
ab bhii KhizaaN kaa raaj hai lekin kahiN kahiN
goshe rah-e-chaman meiN Gazal-KhvaaN huye to haiN

"noon"

**
Naama-bar haal mera un sey zubaani keh dena
khat na dena ke wo auroN ko dikha detey heiN

"noon"

Na Khawaab meiN na Talism-e shakasT-e khawaab meiN huuN
MeiN apniii roshniii-e taba'h kay azaab meiN huuN

Kabhi tou koii Likhay ga HikaayaT Ghum-e- jaaN
MeiN eik saada warQ huuN magaR kitaab meiN huuN

Noon*

:hehe:


**Nah dosti sey rahey nah dushmani sey rahey
hameeN tamaam giley apni aaghi sey rahey

Woh paas aaye to mouz-e-guftagoo nah miley
woh laut jaye to her guftafoo ussi sey rahey**

Ye andheray ye talaatum ye hawaaoN ka kharosh
is meiN taaroN ki subuk narm ziyaa kyaa karti
talkhi-e-zeest say karwa huwa aashiq ka mizaaj
nigaah-e-yaar ki masoom adaa kya karti

ye*

yaad kyaa dast-e-hunaR hai ki saNvarta gaya maiN
us ko sochaa to use yaad hii karataa gayaa maiN

"noon"

Na ho taghyaan-e-Mushtaqi tou meiN rehta nahin Baqi
Ke merii Zindagi kya hai? Yehi Taghyaan-e-Mushtaqi

Ye*

ye ehataraam-e-junuuN hai ki sii liyaa daamaN
vagarnaa ek tamaashaa-saa kuu-ba-kuu karate

"ye"