Bait Bazi - Part LXV

YuuN arz-o-talab say kab aey diL patthar-diL paani hotay haiN
Tum Laakh Raza kii Khuu Daalo kab Khuu-e-sitamagar jaatii hay

ye*

**
yeh na shabnam hay na bhatkay huay taron ka hajoom
raat ki lash pe tapkey heiN sehar ke aaNsoo

"wao"

Waqt khush khush kaatnay ka mashwara detay huway
ro paraa wuh Aap mujh ko hoslaa detay huway

ye*

**
Ye bhi theek hai wo chala gaya mujhey band rastey par chor kar
wo juda bhi kesey huwa ke meiN koi rasm bhi na nibah saka
na meiN paas us ko bula saka na dil ki baat suna saka
wo hansi hansi meiN hi chal diya meiN hath tak na hila saka

"alif"

Isliye toot key roya hooN maiN aksar Muhsin
Muj ko dil khool key hansney ka qareena aaye

ye kon jaanay key kya huwa maiN dhoond dhoond kay thak geya
ke wuh jo Ek TiteLi thii baagh meiN wuh bhi na-jaanay kidhar gai

ye*

Yaad aya tha bichharhna tera
phir naheen yaad keh kya yaad aya
jab koyi zahm bhara daagh bana
jab koyi bhool geya yaad aya

aik khawab ko ankhooN se utaRaneY nahi daita
kuch be ho hamiN haad se guzarnaY nahi daita
lamhoN maiN baha day hamiN ray'zoN maiN sumaiteY
wo kuch be kaRay phiR bhe bikhaRnaY nahi daita

Ab tou AankhoN meiN samaati nahiN surat koi
GhouR say meiN nay tujhey kaash na dekha hota

alif*

Aye gham-e-ishq meri aankh ko pather ker dey
haiN mery sar per tery our bhi ehsaan buhat!

tuu kisii aur kii jaagiRr hai ai jaaN-e-Gazal
log tuufaaN uThaa denge meRe saath na chal

Lahoo meiN dhoolti tanhaii ki tarah Khawar
tera kheyal dil-e-beqarar mein rakha

ab to sochaa hai ke daaman hii teraa thaame.nge
haath jab hamane uThaaye haiN duaa bhuul gaye

"ye"

**
Yaad rakho to dil ke paas heiN hum
bhool jaao to faasley heiN bohat

"te"

Tum hamarey kissi tarah nah hoye
warna duniya mein kya naheen hota
Hal-e-dil yaar ko likhooN kyooNker
haath dil sey juda naheen hota

aqs bikharaa hai teraa TuuT ke aa_iine meiN
ho gayii nam nazar aqs liyaa kis se kareN
maiN safar meiN huN mere saath judaa_ii terii
ham-safar Gam hai to phir tera pata kis se kareN

"noon"

NamooN ka ik hajoom sahi mery aas paas
dil ik naam sun key dharhakta zaroor he

ye haadasaat jo haiN iztaraab kaa paiGaam
ye haadasaat hii aaye.nge saazagaaR mujhe

"ye"

**
Ya baarish-e-sang ab ke musalsal na hui thi
ya phir meiN terey shehar ki raah bhool gaya tha
ik tu ke gureizaN hi raha mujh sey ba'har-taor
ik meiN ke terey naqsh-e-qadam choom raha tha

"alif"

aaj unheN kuch is tarha ji khol kaR dekha kiye
ek hii lamheY meiN jaise umR bhar dekha kiye
dil agar betaab hai dil kaa muqaddar hai yahii
jis qadar thi ham ko taufiiq-e-nazaR dekha kiye

"ye"