*ya bhi bara karam hay salamat hay jisam abhi
aye khusran-e-shehr qabian mujhay na dou
wow*
*ya bhi bara karam hay salamat hay jisam abhi
aye khusran-e-shehr qabian mujhay na dou
wow*
Wuh Aaina jisay dekha hay muddatoN meiN nay
Meri nigah ka mujh say hisaab maangta hay
Mera wujood hamaisha say paak tha phir bhi
Mera zameer mera ehtesaab maangta hay
ye*
yaaRo dil-e-vahshi ko sambhlao k saR-e-bazam
wo dushman-e-jaaN nazR-e-wafa maang raha hai
"ye"
Yeh raat ka daman hay ya hay gham-e-tanhai
Bethay tou haiN mehfil meiN dil meiN magar tanhai
ye*
Beautiful NikamiJi:k:
**
ye meri aadat to nahithi ke raat bhar jaagooN
kisi ki chahat meiN intizaar ki saoghaat hey ye
“ye”
[quote]
Yeh raat ka daman hay ya hay gham-e-tanhai
Bethay tou haiN mehfil meiN dil meiN magar tanhai
v nice G-e-Tea
[/quote]
ye bhi tera hi bayaN tha na janam ke kabi jo andheroN ney tujhey aan ghera
to hamaari nigaaheiN terey raastoN par sitaaroN ki shammeiN jalaaya kareiN gi
thanks Amal
"ye"
Shukriya NJ sis:)
yuuN tujh ko iKhtiyaar hay, taasiir day na day
dast-e-duaa hum aaj uThaaey huwey tou haiN
"alif"
Uss nay ek baaR bhi muR kar nahiN daikha jab kay
band hoNtoN say kaii baaR sadaa di maiN nay
ye*
"ye"
ye vaqt jis ne palaT kar kabhi nahiN dekha
ye vaqt ab bhi muradoN ke phal laataa hai
vo moR jis ne hameiN ajnabi banaa daalaa
us ek moR pe dil ab bhii gun-gunaataa hai
"ye"
"wao"
wafaa ka Qahat hay ahL-e-wafaa kay hotay huwey
ajeeb Habas hay Taaza hawaa kay hotay huwey
HatheliyoN peh khilaaey GuL wafaa uss nay
GulaaB haech haiN Rang-e-Hinaa kay hotay huwey
ye*
"alif"
ataa hay yaad mujhko guzra hua Zamana
wuh baaG ki baharain wuh sab ka chah-chahana
Lagti ho choT diL par,ataa hay yaad jis dam
shabnam kay aansuoN par kaliyoN ka muskurana
Alif*
abhi tu paa'ooN k neechay zamee'N mahsoos hoti hia
jahaN ye khatam ho day ghi wohi hum ghaR bana laiN gaiN
Niind Aa jaey tou mahafilaiN barpaa dekhuuN
Aankh khul jaey tou tanhaai kaa Sahara dekhuuN
noon*
"ye"
Yeh baat kis say kahuuN gi keh jis ki khatir maiN
SafaR peh nikli thii Wuh meraa muntazir hi na tha
alif*