Bait Bazi - Part LXV

Umeed tou bandh jaati taskeeN tou ho jaatii
waadaa na wafaa kartay waadaa tou kiyaa hotaa

Next: alif*

**
Alfaaz ki shatranj pe sajaa ke lehjoN ki chaaleiN
wo keh raha tha us sa koi maasoom nahi hey

"ye"

Yaad tou hoNgi tujhay ab bhi wuh baataiN Lekin
Shelf maiN rakhi hui band kitabon ki tarha
Kon jaanay ke naey SaaL maiN tu kis ko parhey
Tera mayyar badaltaa hay NisaboN ki tarhaa

alif*

**
Is rah pe ik umar guzaar aey to dekha
ye raah faqt lot ke janey ke liye hey

Yeh aks-e-Dagh-e-shikast-paimaaN
wuh Rang-e-zakhm-e-khuLoos-e-YaaraN
MaiN Ghum gusaaroN maiN poochta huuN
keh baat chehruuN kahan kahan say!

ye*

**
Ye judaai bhi kitni ajeeb hey
ke tujhey alwida bhi na keh sakey
terey paas rehney ka to zikr kya
terey shehar mey bhi na reh sakey

"ye"

yehi bohat hia k qaa'em rahaY wafa ka bharam
koi kisi ka huwa bhe hai umeR bhaR k leaY

"ye"

ye gaey dinoN ki baat hay
issi Raah pe tum meray sath thay
maiN naey safar pe huuN gaam-zan
mujhay duuR ja ke sadaa na day

ye*

ye kaun aa gayaa meri bazm-e-Khayaal meiN
puuchaa mizaaj kisane dil-e-soGavaar kaa

Aaj Phir Qatal ke Ilzaam se bachnay ke lian
Ro rhay hai mujhay Soli pe charanay walay

:kaboom:

**
Yehi hey qismat-e-sehra yahi karam tera
ke boond boond ataa kar ghataa ghataa le jaa
gharoor-e-dost se itna bhi dil-shikasta na ho
phir utth ke saamney daaman-e-iltijaa le jaa

"alif"

ab na ahsaas hai na khalish na tamna-e-sakoo'N
hum jeay jaateY haiN ik lazat-e-benaam k sath

ho meraa kaam GariiboN ki himaayat karna
dard-maNdoN sey zaiifoN sey muhabat karna
merey Allah buraaii sey bachaanaa mujh ko
Naik jo Raah ho uss Raah pe chalaanaa mujh ko

wao*

**
Wo khaab tha bikhar gaya, khayaal tha mila nahi
magar is dil ko kya huwa, kiuN bujh gaya pata nahi

"ye"

Yeh Ehtaraam-e-khaak ka manzar bhi dekhna
mati pe sajdaH Rez hay Tehnii GulaaB kii

ye*

**
Ye na thi hamaari qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar yuNhi jeetey rehtey aur intizaar hota

"alif"

Abhi hay zara wuh asaR jisay merii Zaat nay pooja kabhi magaR
wuh junooN tou kab ka khatam huwa wuh sooraT tou diL say UtaR gai

ye*

:)

**
yuN to heiN be'shumaar wafaa ki nishaaniaaN
lekin har aek shey sey niraaley tumhaarey khat
jesey ho umr-bhar ka asaasa ghareeb ka
kuch is tarha sey mein ney sambhaley tumhaarey khat

"te"

Terey Ghum ko jaaN ki TaLash thi terey jaaN-nisaR chalay gaey
Teri Raah meiN kartey they saR TalaB sar-e-Raah guzar chaley gaey
Terii kaj-adai sey haaR ke shab-e-intzaaR chali gai
mere zabt-e-haaL sey ruTh kar mere Ghum-gusaaR chale gaey

ye*

**
ye hamein the jin ke libaas par sar-e-raah siyaahi likhi gai
yahi daad the jo sajaa ke ham sar-e-bazm-e-yaar chaley gae

“ye”