[QUOTE]
*Originally posted by Amarbail: *
Im shocked to see that since past three days... no one even replied to let Bait Bazi continue...
Here Im back and here my reply goez...
Yun gumaan hota hai garchay hai abhi subh-e-firaaq
Dhall gaya hijar ka din aa bhi gaee wasal ki raat...
Next: T
[/QUOTE]
Thokar Kha K Sambhalnay Walay Yahan Jeet Hai Teri Haar Nahi
Ye Matlab Ki Hai Dunya Sari Yahan Koi Kisi Ka Yaar Nahi
Next: I
Iss ka milaal kiya jo nahi ihtiyaar mai
itna bhi kiya kam hai ke wo apna laga mujhe
wehshat kahein isse ya mere paon kii talab
uss ki taraf hi le gayaa har raastaa mujhe
yeh jaantay huwey bhii kiye ja rahii huN pooja
keh Umr ezaa-rasaaN tanhaa utaarni hay
aouN gii tumsay milnay gar muntazir nahiN ho
par raah ki sakhtii abhii mujhko sanwaarni hay
Ye*
yadein chalin Khayal chala ashk-e-tar chale
lekar payam-e-shoq kai naamabar chale
dil ko sa.nbhaalate rahe har haadase pe ham
ab kyaa kare.n ki Khud tere gesuu bikhar chale 
Ye khazaaN ki zard se shaam mein jo uddas pairh ke paas hai
Ye tumhare ghar ki bahaar hai, issay aansoo'on se harra karo.
Woh jarray ka mausam hi acha thaa Ya Rab
Bahaar aa ke mujh ko sataati bahut hai...
Next: Ye
Seems that the interest to continue Bait Bazi is getting down ... :(
No contribution even from the regular members too !
Yeh dil maira hey samonder say zera ghehra
Jo outera iss mien kabhi pher nahien obhera
kahan gaye sab???
Aoo kay sajda kareeN almai madhoshi maiN
koon kahta ahi kay Saghir ko Khuda yaad nahiN
Aaj uss nay dard bhee apnay alahda kar liyee
Aaj ma roya to maray saath wo roya na tha...
Next: Alif
**Aik Lamhay main simat aya hai Sadion ka safar
Zindagi TEZ , Bauhat TEZ chali ho jaisay ...
YEH **
Yaadain, udaas aankhain aur ek dil bhuja
Jaate huwe woh kitne inamaat nawaaz gaya...
Next: Alif
**Aankhon nai kia tera intizaar bauhat
Zindagi magar teri tarha bewafa nikli
YEH **
Yadon kay phool sookh na jayein is liye
Aankhon ko ashkbar kya hai kabhi kabhi...
Next: Ye
yaad kisii kii chaa.Ndanii ban kar koThe koThe utarii hai
yaad kisii kii dhuup hu_ii hai ziinaa ziinaa utarii hai
raat kii raanii sahan-e-chaman me.n gesuu khole sotii hai
raat-beraat udhar mat jaanaa ik naagin bhii rahatii hai