** Aik purana mausam lautaa, Yaad bharii purwaii bhi
aisa tu kam hi hota hai , woh bhi hoon tanhaii bhii **
Ye sakoot-e-naaz ye dil ki ragoN ka tootna
khamoshi meiN kuch shikast-e-saaz ki baat karo
"wao"
**waqt rehta nahi kahin tik kar
iski aadat bhi aadmi si hai
'YEH' **
Yeh uddasiyoN kay mausam kahiN raayegaaN na JayeiN
Kisi zakHam ko kurido kisi Dard ko jagao.
**woh umr kam kar raha tha meri
main saal apnay bardha raha tha
'ALIF' **
Abhi lab hil kar rukay na thay abhi haath utth kar jhukay na thay
tu mila mujhay tou laga mujhay ke meri sab dua'aein suni gaiiN
Noon*
Na dil say aah na lab say sada nakaltee hai
Magar ya baat bari door jaa jakaltee hai
Yehi taba-e-rawaaN thi jo hameiN aawaara rakhti thi
isi aawaargi meiN hum to apna ghar banaana tha
agarchey 'Saad' rastey meiN barrey dil'kash jazirey they
mujhey har haal meiN lekin samandar paar jaana tha
"alif"
** apnay saye sai chonk jatay hain
umr guzri hai is qadar tanha
'ALIF' **
Is sey pehley ke rut badal jaaey
apney saarey gulaab ley jaana
"alif"
Aankh kahti hay keh Khawaab tha wuh Raat ka
Neend ki suRat mila tha Rat-jagoN tak Aa geyaa
Phir say HaaiL ho gaii RaahoN meiN doori ki Faseel
Phir wuhii Zahar-e-judaai QurbatoN tak Aa geya
Alif*
Agar choop chap tum dekhoo tu dam aram say niklay
Idahar hum hichki latay hain udahar tum roonay lagtay hoo
** Woh khat kai purzay urda raha tha
hawaon ka rukh dikha raha tha
ALIF **
[QUOTE]
Originally posted by arfin99: *
* Woh khat kai purzay urda raha tha
hawaon ka rukh dikha raha tha
ALIF **
[/QUOTE]
Aja kay ab or sahi na jay ya judai
Kitni or day ga tu saza ya to bata.
"Alif"
Ana-parast hey itna ke har daleel sey pehley
wo utth kar band meri har kitaab kar dey ga
"alif"
** Aaina dekh kar tasallii hui
hum ko is ghar main janta hai koi
YEH **
Yeh naan thi hamari qismat kay wisalay yaar hota
Aggar aur jeetay rahtay yehi intazaar hota
Alif...
** Aag main kia kia Jala hai Shab bhar
Kitni khush rang dikhaii dii hai
YEH **
Im shocked to see that since past three days... no one even replied to let Bait Bazi continue...
Here Im back and here my reply goez...
Yun gumaan hota hai garchay hai abhi subh-e-firaaq
Dhall gaya hijar ka din aa bhi gaee wasal ki raat...
Next: T
**Raat bhar boltay hain saNnatay
raat kaatay koi kidhar tanha
'ALIF' **