Bait Bazi Part - LXIX

Ya dill kiya hum jaan bhi dedetay
Wo ik baar mangta to sahi.........

**Yaadon kai saharay jeena parda to jee laingay
Bhoolna tumhain ab, jab kai apnai bus main nahi

YEH **

Yeh jo zindagani ka khail hai gham'o'imbasaat ka mail hai
Ussay qadr kya ho bahaar ki kabhi dekhi jis ne khizaan nahee...

Next: Noon

ab dekhiye kis kis pe tere gham ka karam ho
warna teri chaahat ke gunahgaar to sab hain

next ----> noon

Na kaho kay zibaN jalti hay
Na suno kay dard kahiN ho ga!

Gam kaa Khazana tera bhi hai mera bhi
ye nazarana tera bhi hai mera bhi

tu mujhko aur main tujhko samjahaun kya
dil deevana tera bhi hai mera bhi

  • Shahid Kabeer

Yeh haal hay abb oor tujhay bat'lain kia
Roz aa kar Ghazal dasht kay jagatay hain
(Adab Arz)

Naqsh ki tarha ubharna bhi tumhee se seekha
Rafta rafta nazar aana bhi tumhee se seekha
Tum se haasil huwa ek ghari samundar ka sakoot
Aur har mauj se larna bhi tumhee se seekha

Next: Alif

**Aao kuch dair ko hum bechar jayien
Aik dhagay main pro kai Bikhar jayien

NOON **

na jaane aaj ye kis kaa Khayaal aaya hai
Khushi kaa rang liye har malaal aaya hai

ye kaun aa gayaa merii bazm-e-Khayaal me.n
puuchaa mizaaj kisane dil-e-soGavaar kaa

ALEF

Iqrara kiya hay inkaar na karaiN gay
Tu lakh keh hum tujhi say piyar karaiN gay!

:blush:

ya rab zamana mujhko mitaata hia kis liye
loh e jehan pe harfe mukraar nahi houn mai

Ya..right?

Ya dill bohat udass hay ab aa bhi jao tum
Kaab say darwaza kholay khaRaiN haiN!

Nigah-o-dil ko qarar kaisa, nishat-o-gham mein kamee kahan key
Woh jab milay hain tou unn say har baar key hai ulfat nayay sir'ray say

**Yeh bhi Ada hai unkai Rulanay ki
Khushi main bhi ronay ki arzoo niklay
Aag lagaate hen magar bhuja detay hain
Kai dhuain sai beikhtiar ansoo niklay

YEH **

Yoon he udas raha tu dekhna ak din
Tamam shahar main tanhiyian becha doon ga

ga....

gale laga ke jo sunte the dil ki aahon ko
taras rahaa huun unhin ki hasin baahon ko

Waqt ne woh khaaq urai hai ke dil ke dasht se
Qaafle guzre hein lekin naqshe pa koi nahin
Khud ko yun mehsoor kar betha hoon apni zaat mein
Manzilen charon taraf hein rasta koi nahin...

Next: Noon

Nishat-e-jaan ki qasem tu nei to kuch bhi nehi
bohet dare tujhay bhula ker daikha hay

yeh