Bait Bazi Part - LXIX

Yeh wakt wakt ki baat hai koi aur hai ab nigah mein
Tere loh-e-dil pe kabhi mera naam bhi thaa likha huwa...

Next: Alif

yahi haalaat ibtada se rahe
log humse khafa khafa se rahe

bevafa tum kabhi na the lekin
ye bhi sach hai ki bevafa se rahe

Yehi bohet hay k dil usay dhound laya hay
kisi k sath sehi woh nazer to aaya hay

yeh

Yeh ajeeb imtayhaan hay.. kay tumhee ko bhoolna hai
Millay kab thay iss tarhaaan hum.. tumhay baydilee say pehlay...

Next: Yeh

Yeh raat yeh chandni phir kahan
Sun ja dil ki dastaaaaaaaaaan !!!

Next: Noon

Na khush ho kamyabi per ke hotay yun bhi dekha hai
Kinaray tak pohanch kar bhi safeenay doob jaatay hain...

Next : Noon

*
na shikaayatain na gilaa kare koii aisaa shakhs huaa kare
jo mere liye hii sajaa kare mujh hii se baatain kiyaa kare *

(YE)

Ye chaal meri samaa'at ki thi ya dhoka us ki sadaa ka tha
wuh day raha tha hukm magar lehja saara iltejaa ka tha
dawaa bhi ki duaa bhi ki magar dard ki shiddat na tham saki
jo muhabatoN nay mujhay diya wuh zakhm hi gehra bala ka tha

Alif*

Ek umer se hoon lazzat-e-gireyaa se bhi mehroom
Tu bhi tau kabhi mujh ko rulaane ke leye aa...

Ab gaye ho tu na Yoon Laut kay Ab Aa Aye Dost!
Ye Andheray nahin ab mujh ko palatnay detay
Aaj Shidaat sey ye Ehsaas hua hay Mujh ko
Kaash Halaat meray Tujh ko Samjhnay detay!

'Ye'

Yeh Aalam shauq ka dekha na jaye
Woh but hai yah khuda dekha na jaye
Yeh kin nazroon sey aaj to ney dekha
Kay tera dekhna dekha na jaye

Ye Chand agar kabhi taaroN say kisi roz larray tou kya ho ga
kisi roz yuunhi zid meiN Aa kar na raat dhalay tou kya ho ga

Alif*

Ab tujh se jo rabt hai tu itna
Tera hi Khuda mera Khuda hai ...

yeh soch ke ley aya hoon mein jungle sey kuch jugnu
naa jaaney ab qismatt mein sehar hai ke nahin hai
tu deikh mera shaoq meri shikaston koo naa deikh
peiron taley teirey ghar ki dagar hai ke nahin hai!

'Ye'

Yadain teray sulook ki dasti hain aaj bhi
Jeene ki aarzoo mai tarasti hain aaj bhi
Aankhain hazar sabar ki koshish ke bawajood
Ruk ruk ke baar baar barasti hain aaj bhi...

Youn dil ko har ek shaks par wara nahi karte
aankhon main har ek aks utara nahi karte
honi hai to ek baar hi ho jaye mohabbat
Yeah bhool hai aisi kay dobara nahi karte...

Yun tu har cheez salaamat hai meri duniya mein
Ik taa'luq hai jo toota huwa lagta hai...

Yaad aata hai rouz-o-shab koi
ham sey rootha hai bey-sabab koi...

Yunhi yeh shaakh se pat'tay gira nahee kartay
Bichar kar loug bhi zeyaada jeyya nahee kartay
Jo aane waalay hain mausam ab unhain shumaar karo
Jo din guzar gaye unhain ginna nahee kartay...

yeh na thi humari kismat k visaal-e-yaar hota
ager or jeetey rehte tu yehi intazar hota
kahoon kiss sey main k kia hai , shab-e-ghum buri bala hai
mujhe kia bura tha marna .. agar aik baar hota !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!