Bait Bazi - Part LXIV

**

Raat phir aaey gi, phir zehan ke darwaazey par
koi mehNdi meiN raNgey haath sey dastak dey ga

"alif"

Ae Khuda mujhse na Lay merey gunahoN ka hisaab
mere paas ashk-e-nadaamat kay siwaa kuch bhi nahiN

Next: noon*

good one amal..

Uss ke nazdeek gham-e-tark-e-wafa kuch bahi nahin
mutmain aisay hai ke jaisay hua kuch bhi nahin

"noon"

thanx **Saby


Na ajnabi hey koi aur na hi aashna koi
akeley-pan ki bhi hoti hey intehaa koi
"ye"

yeh haal dekh ke mera mujh se bolay woh
kuch apna khayaal bhi tu rakha karo
humnay kaha ke aaap khud bhi tu socho
kitni baar kaha ke khut tu likha karo

oops
sorry
"wow"

wuh parinda jisay Parwaaz say Fursat hi na thii
Aaj Tanha hay tou deewar pe aa baetha hay

Next: ye*

younhi aik roz apnay dil ka qissa bhi suna dena
khitab aahista aahista nazar aahista aa****a

"alif"

Udaas Shaamain, Ujaar raste kabhi bulaain tou lautt aana
kisi ki Aankhon meiN Rat-jagon kay Azaab aain tou lautt aana

Next: alif*

ahh very good one Gul...

aye ishq humian barbad na kur barbaad na kur
pehlay hee bohut nashaad haim hum tu aur humain nashaad na kur
qasmat ka sitm kuch kum nahi
tu taaza sitam eejaad na kur

"ray"

Shukriya :)

Rotey hain diL kay zakhm tou hansta nahiN koi
Itna faida tou hamein apni tanhaioN sey hay

Next: ye*

Amal Ji ap kahan gum :~)

I think I should leave now...Thanx :)

oho aap ko "ye" se khaas dosti hai kya???
ab tu yaad bhi nahi aa rahay :(

Yuun teri yaad se jee ghabraya
tu mujhay bhool gaya ho jaisay

"ye"

ye * is my friend :p

me also gtg Thanks all:)

yahii bahut hai ke dil us ko Dhuu.ND laayaa hai
kisii ke saath sahii vo nazar to aayaa hai

gul je +ye+ kohn hei :crying:

yuuN to har Lamha teri yaad kaa bojhaL guzra
diL ko mahsoos hui teri kami shaam kay baad

Next: DaaL*

PS: Meine Masoom Schwester das ist Ein Urdu Wort :french::slight_smile:
Bitte nicht weinen :stuck_out_tongue:

**
Dekha jo be'rukhi se to heirat hui mujhey
dunya to be'wafa thi magar tujh ko kya huwa!

""alif

AaNkhaiN baras rahii haiN kay baadaL bharay huey
us bad'gumaaN kay diL meiN ab tak ghubaaR hay

Next: ye*

**
ye dudaaiyoN ke rastey barri door tak gaey heiN
jo gaya phir na aaya, meri baat maan jaao

"wao"

wuhi be-kaLi ,wuhi be-basi, wuhi bandishaiN wuhi chahataiN
meiN abhi talak na samajh saka tu Naseeb hay ke Nisaab hay

Next: ye*