off for a while...see you later
Ye ajnabi si manzileiN aur raftagaaN ki yaad
tanhaiyoN ka zehar hey aur hum heiN dosto
"wao"
off for a while...see you later
"wao"
Wuh miLa tou sadiyoN kay baad bhi meray Lab pay koi giLa na tha
Ussay meri chup nay rula diya jisay guftugu meiN kamaL thaa
Next: alif*
aye jazba-e-dil gur main chahoon hur cheez muqaabil aa jaaye
manzil ki tarf do gaam chaloon aur raah main manzil aa jaye
"ye"
saby bro/sis A very Beautiful GhazaL ^
yeh Lehza Lehza shikayataiN kiya,
yeh Zindagi bhar ka Rat-jaga kyuuN
wuh Umr bhar saath kaesay detaa
Jo aek PaL kay liye mila tha
Next: alif*
"ye"
^
WB !
ye aur baat ke manbar pe Aa ke kuch na kahaiN
khamosh Log baLaa kay khateeb hotay haiN
Next: Noon*
Thanx:)
"noon"
^ Beautiful GhazaL
na wuh Shaan-e-jabr-e-shabaab hay na wuh Rang-e-Qahar-e-itaab hay
diL-e-beQarar pe in dinoN hay sitam yahi ke sitam nahiN
Next: Noon*
nice matching:k:
** Na ajnabi na musaafir na shehar waaley heiN koi pukaaro ke hum bhi kisi ke ho jaaeiN“noon”
na deed hay na sukhan, ab na koi hurf hay na payaam
koi bhi heela-e- taskeeN nahiN aur aas buhat hay
umeed-e-yaar ,Nazar ka mizaj ,Dard ka ranG
tum aaj kuch bhi na puucho kay dil udaas bahut hay
Next: ye*
:(
"ye"
Yeh aur baat hay keh sharminda-e ta'abeer na hoN
har zehen meiN warna kuch Taj MahaL hotay haiN
Next: Noon*
"ye"
Ye zaraa zaraa si baat par tarhaN tarhaN kay azaab kiuN
jo kisi say bhi khafaa na ho mujhey us khuda ki talaash hay
Next: ye*
A coincident or a delibrate attempt?:)
"ye"
Jo bhi samjh laiN:~)
Ye kya maQaam-e-shauQ hay na aas hay na yaas hay
ye kya huwa ke lab pe tera naam aa ke reh gaya
Next: alif*
i hope you liked that...:)
"ye"
:)
Uff this ye
ya-Rab! Ghum-e-hijraaN meiN itna tou kiya hota
jo haath jigar pe hay wuh dast-e-dua hota
Next: alif*
"rey" :)
Raat bhi aae to bujhti nahiN chehre ki chamak
Rooh me phael geya hai wuh ujala ban kar
Next: Re*