wuh rula kar haNs na paayaa dair tak
jab maiN ro kar muskuraayaa dair tak
Next: Kaaf*
wuh rula kar haNs na paayaa dair tak
jab maiN ro kar muskuraayaa dair tak
Next: Kaaf*
"ye"
yeh aari tirchi lakeerain bana gay hai kaun
main kya kahoon, mere dil ka warq tu saada thaa
"alif"
ik tum kay diL meiN dard kisii Ghaer kay liye
ik hum kay dard ban gaye Khud aap kay liye
Next: ye*
yar ko mainay yar nay mujhay sonay na diya
raat bhur tala-e-baidaar ne sonay na diya
"alif"
"ye"
ye kis kii chashm-e-fusuu.Nsaaz kaa karishma hai
ki Tuut kar bhii salaamat haiN dil ke butaKhaane
"ye"
ye kis Khalish ne phir is dil meiN aashiyana kiyaa,
phir aaj kis ne suKhan hum se Ghayebana kiyaa
Next: alif
ab udaas udaas phirtay ho sardiyuon ki shaamon main
is tarah tu hota hai iss tarrah ke kaamon main ;)
" noon "
*na haara hai ishq na duniyaa thakii hai
diyaa jal rahaa hai havaa chal rahii hai
sukuun hii sukuun hai Khushii hii Khushii hai
teraa Gam salaamat mujhe kyaa kamii hai *
Next: ye*
yeh kya ke sansain ukhar gayee hain safar ke aghaaz hee se yaaro
koi bhi thuk kur na raaste min nidhaal hoga yeh tai hua thaa...
"tay"
zabardast qisam ki shaeri ho rahi hey idhar to
Very nice ladies:):k:
**
tujhey poojney ke eyvaz sanam so sazaaeiN shirk ki milieeN mujhey
merey ‘zummey’ jo jo hisaab they meiN ney ik ik kar ke ‘chuka’ deeye
dil-e-na-muraad yuN heraan hey ke teri chaahatoN ko kya huwa
kiuN darbaar-e-rasm-o-rivaaj meiN sar mohabbatoN ney jhuka deeye!
“ye”
ye alag baat afsha na huwa tu warna
maiN nay tujhay kitna mehsuus kiya teray baad
meri dukhti huii Aankhon sey gawaahii lena
maiN ney socha tujhay apnay sey siwa teray baad
Next: DaaL*
Amal Ji Shukriya:)
"noon"
Nahin bayaaN hoti mohabbat LufzoN meiN
Ke Iss ko Samajhna hay tou dekh in ankhoN meiN
Next: Noon*
"ye"
yeh kaafi hai ke hum dushman nahi hain
wafadaari ka dawa kyun kerain hum
"meem"
Merii baat kaesay wuh manta meray dard ko wuh kaesay janta
Wuh tou khud fana kay safar maiN tha Ussay rokna bhi mahaL tha
Next: alif*
"ye"
yeh HadaiN na Tor denaa meray daairay meiN rehna
mujhay apnay DiL meiN rakhna meray hafizay meiN rehna
mera bojh khud uthana mera Karb aap sehna
mera Zakhm baant lena Meray Rat-jagay meiN rehna
Next: Alif*