Bait Bazi - Part LXIV

aaNdhi chali to naqsh-e-kaf-e-paa nahiN milaa
dil jis se mil gayaa vo dubaaraa nahiN milaa
aavaaz ko to kaun samajhataa k duuR duuR
KhamoshiyoN kaa dard-shanaasaa nahiN milaa

Aap burhum hi sahi, Baat tou kar LaiN Hum say
Kuch na kahnay say Mohabat ka gumaa'N hota hay

Next: ye*

ye vaqt-e-imtehaaN hai sabr-o-qaraar-o-dil kaa
aaNsu chupaaye rakhnaa jab tak k main na auuN

Na haath thaam sakay, na pakarr sakay daman
Buhat Qareeb say uthh kar chala geya hay koii

Next: ye*

Yehi raha he muqaddar mery kesanooN ka
keh chand boeeN our unko gehan zameeN sey mileeN

[QUOTE]
*Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *

na haath thaam sakaY na pakaR sakaY damaN
buhat qaReeb say uthh kaR chala geya hay koii

Next: ye*
[/QUOTE]

Beautiful sher G-e-Tea

ye kis muqaam pe laa'ee hai be-kasi hum ko
shajaR hazaR haiN lakiN kisi ka saya nahi

opsss sory noon tha

na zindgee kee tammana na maot ka kHuTka
rah-wafa meiN gham Ibn-o-AaN se guzre haiN

:noon"

thanku sis:)

Na tou Ghum ki dhoop jala saki na tou mausmoN ka asar hua
wuh meri wafa ka phooL tha jo abhi talak hay khila hua
meri baat aur hay, choRiye maiN aseer-e-jazba-e-ishQ huuN
zara apney diL ko bhi dekhiye yeh bataaiye, issay kya hua?

Next alif*

AankhooN meiN chhupaye phir raha hooN
yadooN key bhujey howey saweerey
**Rudad-e-safar nah chheerh Nasir
phir ashk nah tham sakeeN gey mery
**

yeh jo do gharri kabhii hum kahiN, jo guzaar letay haiN ku-ba-ku
yehii do gharri ki hay guftagu, koi gufatagu ka jawaaz hay?

Next: ye*

**
Ye mojza tha ya merey gham ka kamaal tha
tanhaaiyoN ka meri usey bhi malaal tha
manzil ko paa ke meiN to bohat khush huwa magar
yaaroN ko meri maot ka kitna malaal tha

"alif"

Arrey logooN aisey aashaar...aap donooN mil key udaas mat karoo :(

[QUOTE]
*Originally posted by Rameesha: *
Arrey logooN aisey aashaar...aap donooN mil key udaas mat karoo :(
[/QUOTE]

me so sad sniff

Ek paL meiN zindagi Bhar ki udaasi day geya
Wuh judaa hotay hoe kuch phooL baasi day geya

Next: alif*

Abhi sey mery rafugar key hath thakney lagey
abhi to chaak mery zakhm key siley bhi bhi naheen

Gul sisi kya howa???:( hugs

Na Khawaab meiN na Talism-e shakast-e khawaab meiN huuN
MeiN apni roshni-e taba'h kay azaab meiN huuN

Next: noon*

sis kuch bhi nahiN hua just missing my bhai and sis:-(

Nasir, hum ko raat mila tha tanha our udaas
wohi purani bateeN uski, wohi purana roog

gae dinoN ka suraaG lay kar kidhar say ayaa kidhar geyaa wuh
ajiib maanuus ajanabii thaa mujhey tou hairaan kar geyaa wuh

Next: he*

check ur pm :-(

Hum ko to gardish-e-halaat pe rona aya
Roney waley tujhey kiss baat pe rona aaya

Aaj usney dard bhi apney alehdaa kar diye
Aaj maiN royaa tou merey saath wuh royaa na tha

Next: alif*